Skip to main content

Posts

Showing posts from November, 2013

Two Lines Poetry

ہم پر تمہاری چاہ کا الزام ہی تو ہے

ہم پر تمہاری چاہ کا الزام ہی تو ہے دشنام تو نہیں ہے، یہ اکرام ہی تو ہے کرتے ہیں جس پہ طعن کوئی جرم تو نہیں شوقِ فضول و الفتِ ناکام ہی تو ہے دل مدّعی کے حرفِ ملامت سے شاد ہے اے جانِ جاں یہ حرف ترا نام ہی تو ہے دل نا امید تو نہیں، ناکام ہی تو ہے لبمی ہے غم کی شام مگر شام ہی تو ہے دستِ فلک میں گردشِ تقدیر تو نہیں دستِ فلک میں گردشِ ایّام ہی تو ہے آخر تو ایک روز کرے گی نظر وفا وہ یارِ خوش خصال سرِ بام ہی تو ہے بھیگی ہے رات فیض غزل ابتدا کرو وقتِ سرود، درد کا ہنگام ہی تو ہے

vahashat-e-dil silaa-e-aabalaa_paa_ii le le

vahashat-e-dil silaa-e-aabalaa_paa_ii le le mujh se yaa rab mere lafzo.n kii kamaa_ii le le [vahashat-e-dil = terrified heart; silaa-e-aabalaa_paa_ii = result of wandering] aql har baar dikhaatii thii jale haath apane dil ne har baar kahaa aag paraa_ii le le mai.n to us subah-e-daraKhshaa.N ko tavangar jaanuu.N jo mere shahar se kashkol-e-gadaa_ii le le [subah-e-daraKhshaa.N = luminous dawn; tavangar = rich] [kashkol-e-gadaa_ii = darkness in alms] tuu Ganii hai magar itanii hai.n sharaayat merii ye mohabbat jo hame.n raas na aa_ii le le [Ganii = wealthy; sharaayat = conditions (plural of shart)] apane diivaan ko galiyo.n me liye phirataa huu.N hai ko_ii jo hunar-e-zaKhm_numaa_ii le le

pech rakhate ho bahut saaj-o-dastaar ke biich

pech rakhate ho bahut saaj-o-dastaar ke biich mai.n ne sar girate hue dekhe hai.n baazaar ke biich [pech = anger; saaj-o-dastaar = turban] baaG_baano.n ko ajab ranj se takate hai.n gulaab gul_farosh aaj bahut jamaa hai.n gul_zaar ke biich [ranj = sorrow; gul_farosh = flower sellers] kaj adaao.n kii inaayat hai ki ham se ushshaaq kabhii diivaar ke piichhe kabhii diivaar ke biich [kaj - crooked; ushshaaq = lovers] tum ho naa_Khush to yahaa.N kaun hai Khush phir bhi 'Faraz' log rahate hai.n isii shahar-e-dil-e-aazaar ke biich

Faiz Ahmed Faiz,

Parveen Shakir

Parveen Shakir

Parveen Shakir

Design Poetry

Mujhko Lagta Hai

Mujhko Lagta Hai  Maine Kuch Waqt Me Jana Hai  Bina Bataye Ja Raha Hooooon Kyun Ki Akhri Bar Mai Tum Sabko Khush Dekhna Chaha Ta Hooon Par Mere Jane Ke Baad Ye Geet Tumhe Sab Batadega  Meri Rag Rag Se Waqif Kara Degaaaaa Bas Rona Mat Agar Mujhe Kuch Hojaye  Bas Rona Mat Agar Na Rahoon Mai Is Duniya Mee Wada Hai Mera  Laut Kar Auonga Zarooor Tumhare Pass Hi Bas Rona Mat Maff Karna Mujhee Agar Chod Jaun Tumhe Is Duniya Me  Mafi Lene Auonga Zaroorrr Laut Kar Auonga Zaroorrr Phir Ghomenge Woh Adhi Raat Me  Phir Pee Kar Jhoomengen Sath Sath Meee Meri Sab Cheezen Sambhal Kar Rakhna  Wapis Bhi To Ana Hai Maine Bas Mat Rona Mere Jane Pe Agar Tum Rouge  Wahan Se Dekh Dil Bhi Mera Rouega Kya Tum Chate Ho Dil Bhi Mera Roye Nahi na Nahi na  To Tum Rona Mat  Jo Tumhare Gumme Sehna Chata Tha Ab Woh Sehna Paunga Mai  Par Lautunga Par Lautunga  Par Lautunga Zaroor  Sare Shum Tumhare Le Jaunga Mai...

Main andheri raat ka musafir karoon roshni ka intezaar kia??

Main andheri raat ka musafir karoon roshni ka intezaar kia?? Tay ker loon musafatain raat main sulaghtay din ka etabar kia?? Mujhay rastay main nafratain mili or kuch phool bewafai k.. Main kia janoo kia hai muhabat kia samjhoon hai yeh pyar kia?? Main tanhaiyon main zinda hoon main per katta parinda hoon.. Koi aa k mujhay bata jaey hota hai wisaal-e-yaar kiaa?? Koh-e-toor per to pohanch gaey sang le ker kuch ahl-e-nazar.. Jis nazar ko taab-e-deedaar nahi woh nazar keray deedar kia?? Yeh rog ishq ka rog hai yeh saaz nahi yeh soz hai… Is rog ki koi dawa nahi phir dawa keray beemaar kia?? Us ne jaan meri maang li sadqay main apnay pyaar k… Yeh dum to usi humdum ka tha phir kerta main inkaar kia?? Main thak ker baitha tha ik shajar ki ghanni chaon main.. Jis ne tan man mera jala diya woh shajar tha sayadaar kia??

Mera dil tum mein dhadhakta hai, Chaho toh bhi nahi rok sakta

Mera dil tum mein dhadhakta hai, Chaho toh bhi nahi rok sakta Agar dhadhkane kisi ke liye dhadhkti hai, toh phir kabhi nahi rukti Muhhabat kabhi nhi marti bas hum parde daal dete hain uspe ik pal mein kaise banta hai ajnabi, kal tak marte the jispe Sacche pyaar mein tumhara haq banta hai ruthne ka par itna na rutho ke darr lagne lage sapne tutne ka Maine tumhaari aankhon me woh dekhne ki aas lagai jo tum kabhi meri aankhon mein dekh hi nahi paayi Shayad tumne socha hi nhi ke meri bhi rhi hogi majboori Warna aise hi nhi aati tumhare aur mere beech yeh doori Laakho deewano ki nazrein hai tumpe lekin phir bhi Mujhse zyada na chahega tumhe koi, chaho toh aazmaalo mujko bhi

Ek Haseen Khwab Bana Kar Tum

Ek Haseen Khwab Bana Kar Tum Mujhy Har Pal Apni Nigaahon Mein Rakhna Chhu Na Sakein Mujhy Yeh Hawaein Behki Si Mujhy Qaid Apni Wafaon Mein Rakhna Main Khaak Hoon Bikhar Na Jaon Kahin Mujhy Samait Kar Apni Banhon Mein Rakhna Jo Karo Tum Mohabbat Hadon Se Guzar Kar Mera Naam Tum Apni Khataon Mein Rakhna Hum Karty Hain Ehsaas Tumhara Tum Bhi Yaad Mujhy Apni Duaon Mein Rakhna

Khamosh Si Raat Aur Guftagu ki Aarzu

Khamosh Si Raat Aur Guftagu ki Aarzu Hum Kis Sy Karen Baat , Koi Bolta Hi Nahi .

Muje basana hai to apni Rooh me basa.

Muje basana hai to apni Rooh me basa. Ae  J A N E M A N! Ke Dil ke Rishte aksar tut jaya karte hein

Us Ki muHbBaT To MuQaDdaR hAi MiLe Ya Na MiLe...

Us Ki muHbBaT To MuQaDdaR hAi MiLe Ya Na MiLe... " aYe DoSto" Us Ki YaaDoN Se Bhi Ho Jati HaI TaSsLi DiL Ko!!!

Unki Zulfein, lab-o-Rukhsar Aur hath mere,

Unki Zulfein, lab-o-Rukhsar Aur hath mere, Katt gaey Wasal k Lamhay Youn Shararat Krty krty...

Zindagi Meri Tere Gird Ghoomti Hai

Zindagi Meri Tere Gird Ghoomti Hai Faqat Aam Hai Sara Jahan, Bus Ek Khass Hai Tu..!!

main jis ko samjta thaa muhabat ka Taj Mahal

main jis ko samjta thaa muhabat ka Taj Mahal woh tu Ujra howa Ghar thaa maray Ghar ki tara..

Chehra chupa Liya Hai kisi Ne Hijaab Mein,

Chehra chupa Liya Hai kisi Ne Hijaab Mein, Deewana Mar Raha hai Usi k Firaaq Mein...!!!

tumhara raatoN ko uth k rona,

Kisi ki khaatir qaraar khona,  koii sune ga to kya kahe ga ?? tumhara raatoN ko uth k rona,  koi sune ga to kya kahe ga ?? zamana ehd-e-shabaab ka hai, naye khuwab- o-khayal ka hai yeh shab'bedaarii aor din ka sona,  koi sune ga to kya kahe ga ?? Bhanwar meiN tum mujh ko chor aatey, yuNhii mohabbat ka raaz rehta Laa k saahil pe yuN dubona,  koi sune ga to kya kahe ga ?? Kaha yeh maiN ne daro Khuda se, hamare dil ko dukha rahe ho woh hans k bole chup raho na, koi sune ga to kya kahe ga ??

Main chahne waalon ko mukhatib nahi karta

'Main chahne waalon ko mukhatib nahi karta, Aur tark-e-ta'aluq ki main wazahat nahi karta, Main apni jafaon Pe naadim nahi hota, Main apni wafaon ki tijarat nahi karta, Khushbu kisi tash'heer ki mohtaaj nahi hoti, Sacha hoon magar apni wakaalat nahi karta, Ehsas ki sooli pe latak jata hoon aksar, Main jabr-e-musalsal ki shikayat nahi karta, Main azmat-e-insan ka qayel to hoon "*MOHSIN*" Lekin kabhi bandon ki Ebadat nahi karta'

marne waale to kher be-bas hain

Tere hote hue mehfil mein jalaate hain charagh

Tere hote hue mehfil mein jalaate hain charagh Log kya saada hain sooraj ko dikhate hain charagh Apni mehroomi k ehsas se sharminda hain Khud nahi rakhte to auron k bujhate hain charagh Bastiyan door ho jaati hain rafta rafta Dam badam aankhon se bujhte chale jaate hain charagh Kya khabar un ko k daaman bhi bharak uthte hain Jo zamaane ki hawaaon say bachaate hain charagh Go syaah bakht hain hum log par raoshan hai zameer Khud andhere mein hain duniya ko dikhaate hain charagh Bastiyan chand sitaaron ki basane waalo Kurra e arz pe bujhte chale jaate hain charagh Aisay be dard hue hum bhi k ab gulshan pe Barq girti hai to zindaan main jalatey hain charagh Aisi tareekiyan aankhon mein basi hain k Faraz Raat to raat hum din ko jalaate hain charagh...

apne saye se bhi ashkon ko chupa kar rona

apne saye se bhi ashkon ko chupa kar rona jab bhi rona ho charagon ko bujha kar rona hath bhi jate huye wo to milakar na gaya main ne chaha jise sine se laga kar rona tere diwaane ka kya hal kiya hai gham ne muskurate huye logon mein bhi ja kar rona Log padh lete hain chehare pe likhi tahariren kitna dushvar hai logon se chupa kar rona...

Nadan thay jo rakhtay thay umeedain kisi par

ab ye socha hai apni zaat me rahenge Mohsin

ab ke junuuN meN chaak girebaaN na ho sakaa

ab ke junuuN meN chaak girebaaN na ho sakaa kuchh ehtemaam-e-jashn-e-bahaaraaN na ho sakaa raah-e-daraaz-e-umr, asiirii meN kaT gayii  lekin dimaaGh aadii-e-zindaaN na ho sakaa haq-beenii-e-nigaah ke qurbaaN jaaiye khaashaak par gumaan-e-gulistaaN na ho sakaa shukr-e-jafaa-e-yaar se fursat nahiN milii dil waqf-e-shikwah-sanji-e-dauraaN na ho sakaa halkii sii ek naqaab-e-tabassum paDii rahii ruKh se mere ayaaN Gham-e-pinhaaN na ho sakaa

Kon Kehta Hai Tujhe Main ne Bhula Rakha Hai,

Kon Kehta Hai Tujhe Main ne Bhula Rakha Hai, Teri Yaadon Ko Kaleje Se Laga Rakha Hai, Lub Pe Aanhen Bhi Nahi Aankh Mein Aansu Bhi Nahi, Dil Ne Her Raz Muhabbat Ka Chupa Rakha Hai, Tu Ne Jo Dil K Andhere Me Jalaya Tha Kabhi, Wo Diya Aaj Bhi Seeny Me Jala Rakha Hai, Dekh Ja Aa K Mehakate Hue Zakhmon Ki Bahaar, Main ne Ab Tak Tere Gulashan Ko Saja Rakha Hai.

Zindagi Mein Kabhi Kisi Ka

Zindagi Mein Kabhi Kisi Ka Saath Nahi Chorna Kyon Ke Kuch Pal Lagte Hai Rishte Banane Mein Aur Kuch Pal Lagte Hai Rishte Torne Mein Ek Pal Lagta Hai Kisi Ko Rulane Mein Aur Zindagi Beet Jati Hai Kisi Ko Bhulaane Mein...

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge.

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge. Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge.