Skip to main content

apne saye se bhi ashkon ko chupa kar rona


apne saye se bhi ashkon ko chupa kar rona
jab bhi rona ho charagon ko bujha kar rona

hath bhi jate huye wo to milakar na gaya
main ne chaha jise sine se laga kar rona

tere diwaane ka kya hal kiya hai gham ne
muskurate huye logon mein bhi ja kar rona

Log padh lete hain chehare pe likhi tahariren
kitna dushvar hai logon se chupa kar rona...

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.