Skip to main content

Mera dil tum mein dhadhakta hai, Chaho toh bhi nahi rok sakta


Mera dil tum mein dhadhakta hai, Chaho toh bhi nahi rok sakta
Agar dhadhkane kisi ke liye dhadhkti hai, toh phir kabhi nahi rukti
Muhhabat kabhi nhi marti bas hum parde daal dete hain uspe
ik pal mein kaise banta hai ajnabi, kal tak marte the jispe
Sacche pyaar mein tumhara haq banta hai ruthne ka
par itna na rutho ke darr lagne lage sapne tutne ka
Maine tumhaari aankhon me woh dekhne ki aas lagai
jo tum kabhi meri aankhon mein dekh hi nahi paayi
Shayad tumne socha hi nhi ke meri bhi rhi hogi majboori
Warna aise hi nhi aati tumhare aur mere beech yeh doori
Laakho deewano ki nazrein hai tumpe lekin phir bhi
Mujhse zyada na chahega tumhe koi, chaho toh aazmaalo mujko bhi

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng