Ek Haseen Khwab Bana Kar Tum


Ek Haseen Khwab Bana Kar Tum
Mujhy Har Pal Apni Nigaahon Mein Rakhna

Chhu Na Sakein Mujhy Yeh Hawaein Behki Si
Mujhy Qaid Apni Wafaon Mein Rakhna

Main Khaak Hoon Bikhar Na Jaon Kahin
Mujhy Samait Kar Apni Banhon Mein Rakhna

Jo Karo Tum Mohabbat Hadon Se Guzar Kar
Mera Naam Tum Apni Khataon Mein Rakhna

Hum Karty Hain Ehsaas Tumhara
Tum Bhi Yaad Mujhy Apni Duaon Mein Rakhna