Tere hote hue mehfil mein jalaate hain charagh
Log kya saada hain sooraj ko dikhate hain charagh
Apni mehroomi k ehsas se sharminda hain
Khud nahi rakhte to auron k bujhate hain charagh
Bastiyan door ho jaati hain rafta rafta
Dam badam aankhon se bujhte chale jaate hain charagh
Kya khabar un ko k daaman bhi bharak uthte hain
Jo zamaane ki hawaaon say bachaate hain charagh
Go syaah bakht hain hum log par raoshan hai zameer
Khud andhere mein hain duniya ko dikhaate hain charagh
Bastiyan chand sitaaron ki basane waalo
Kurra e arz pe bujhte chale jaate hain charagh
Aisay be dard hue hum bhi k ab gulshan pe
Barq girti hai to zindaan main jalatey hain charagh
Aisi tareekiyan aankhon mein basi hain k Faraz
Raat to raat hum din ko jalaate hain charagh...