Skip to main content

Main andheri raat ka musafir karoon roshni ka intezaar kia??


Main andheri raat ka musafir karoon roshni ka intezaar kia??
Tay ker loon musafatain raat main sulaghtay din ka etabar kia??
Mujhay rastay main nafratain mili or kuch phool bewafai k..
Main kia janoo kia hai muhabat kia samjhoon hai yeh pyar kia??
Main tanhaiyon main zinda hoon main per katta parinda hoon..
Koi aa k mujhay bata jaey hota hai wisaal-e-yaar kiaa??
Koh-e-toor per to pohanch gaey sang le ker kuch ahl-e-nazar..
Jis nazar ko taab-e-deedaar nahi woh nazar keray deedar kia??
Yeh rog ishq ka rog hai yeh saaz nahi yeh soz hai…
Is rog ki koi dawa nahi phir dawa keray beemaar kia??
Us ne jaan meri maang li sadqay main apnay pyaar k…
Yeh dum to usi humdum ka tha phir kerta main inkaar kia??
Main thak ker baitha tha ik shajar ki ghanni chaon main..
Jis ne tan man mera jala diya woh shajar tha sayadaar kia??

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng