Skip to main content

tumhara raatoN ko uth k rona,

Kisi ki khaatir qaraar khona, 
koii sune ga to kya kahe ga ??



tumhara raatoN ko uth k rona, 
koi sune ga to kya kahe ga ??

zamana ehd-e-shabaab ka hai,
naye khuwab- o-khayal ka hai

yeh shab'bedaarii aor din ka sona, 
koi sune ga to kya kahe ga ??

Bhanwar meiN tum mujh ko chor aatey,
yuNhii mohabbat ka raaz rehta

Laa k saahil pe yuN dubona, 
koi sune ga to kya kahe ga ??

Kaha yeh maiN ne daro Khuda
se,
hamare dil ko dukha rahe ho

woh hans k bole chup raho na,
koi sune ga to kya kahe ga ??

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.