ab ke junuuN meN chaak girebaaN na ho sakaa
kuchh ehtemaam-e-jashn-e-bahaaraaN na ho sakaa
raah-e-daraaz-e-umr, asiirii meN kaT gayii
lekin dimaaGh aadii-e-zindaaN na ho sakaa
haq-beenii-e-nigaah ke qurbaaN jaaiye
khaashaak par gumaan-e-gulistaaN na ho sakaa
shukr-e-jafaa-e-yaar se fursat nahiN milii
dil waqf-e-shikwah-sanji-e-dauraaN na ho sakaa
halkii sii ek naqaab-e-tabassum paDii rahii
ruKh se mere ayaaN Gham-e-pinhaaN na ho sakaa