Skip to main content

Qatl Poetry

 yaas ke qatl mei'n hai khana kharaabi muzmer,
 dekh qurb-e- rag-e- gardan hai Thikaana teraa.
Author : YAAS BIHARI


Qatl ki jab usne di dhamki mujhe ,
Kah diya mai ne bhi dekha jayega ,
Pbhi le do ghoont zahid pi bhi le ,
Maikde se kon pyasa jayega .
Author : Bekhud Dehlvi


Na daman pe koi chinT na Khanjar pe koi daagh,
Tum qatl karo ho ke karamat karo ho.
Author : Kalim Aajiz


Bachte nahin muwakhza-e-roz-e-hashar se,
Qaatil agar raqeeb hai, tau tum gawaah ho.
Author : Mirza Ghalib


Nazar na lage kahin uske dast-o-baazoo ko,
Yeh log kyon mire zakhm-e-jigar ho dekhte hain.
Author : Mirza Ghalib


Jazba-e-be ikhtiaar-e-shauq dekha chaahieye,
Seena-e-shamsheer se baahar hai dam sharnsheer ka.
Author : Mirza Ghalib


Marne ki, ai dil aur hi tadbir kar he main,
Shayaan-e-dast-eo-baazoo-e-qaatil nahi raha.
Author : Mirza Ghalib


Hum kahaan qismat aazmaane jaaen,
Tu hi jab khanjar aazma na hua.
Author : Mirza Ghalib


Ki mire qatl ke baad usne jafa se tauba,
Haae! us zood-pashemaan ka pashemaan hona.
Author : Mirza Ghalib


Hum aah bhi karte hain tau ho jaate hain badnaam,
Woh qatl bhi karte hain tau charcha nahin hota.
Author : Akber Allahabadi

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng