Skip to main content

Posts

Showing posts from January, 2014

Tum ghair ke ho baithe, ham ab bhi tumhare hain,

Tum ghair ke ho baithe, ham ab bhi tumhare hain, Ab sath nahin tera, yadon ke sahare hain. Ik mubham tabassum hi, tum ham ko ata kar do, Un lamhon ki khatir hi, jo mil ke guzare hain. Ho jayegi pa-bosi, gar sair ko tum niklo, Baghon mein nahin shabnam, aansu ye hamare hain. Jis kam ko karta hun, takmil nahin hota, Aflak mein gardish hai, gardish mein sitare hain. Ik turfa tamasha hai, sab dekh ke hairan hain, Majhdhar mein khamoshi, tufan mein kinare hain. Hai kaun wahan tera, us par jo takte ho, Ye kiski sadayein hain, ye kiske ishare hain. Dil-sokht sahi 'Sagar', par aisa bhi kya hardam, Guftar mein aatish hai, she'ron mein sharare hain. Har nazm meri 'Sagar', ik dard ka paikar hai, Hathon ko qalam kar ke, ye naqsh ubhare hain.

Hamare ishq ke afsane kal kahan honge,

Hamare ishq ke afsane kal kahan honge, Karenge yaad tumhein chahe ham jahan honge. Zamana guzra hai unko, qareeb dekhe hue, Kaha tha jisne ki do jism ek jan honge. Chale ho jin pe liye hath hath mein mera, Wo raaste bhi kabhi rashq-e kehkashan honge. Karoge bat to hir-phir ke hoga zikr mera, Jo chup rahoge to aankhon se ham ayaan honge. Rahenge sath khushi se tumhari qurbat mein, Qafas mein reh ke bhi ham ahl-e aashiyan honge. Kise khabar thi muhabbat mein sath rehte hue, Taweel fasle bhi apne darmiyan honge. Badhega jab bhi kisi ka qadam su-e maqtal, Zamana dekhega ham meer-e karvan honge. Tumhare dar se hai nisbat janam-janam ki hamein, Fana ke ba'd bhi ham khak-e aastan honge. Wafa ki rah mein 'Sagar' khyal itna rahe, Abhi to aage bahut ismein imtihan honge.

Yaad karte rahe

Yaad karte rahe, aah bharte rahe, Roz jeete rahe, roz marte rahe, Apne jazbat ko qatl karte rahe, Aur patthar ke ham ik sanam ho gaye. Zakhm hijrat ka teri mere dil pe hai, Rooh tufan mein hai, jism sahil pe hai; Qatl karne se pehle badal jayega, Ham ko ab bhi bharosa ye qatil pe hai. Zindagi saz hai, pyar sangeet hai, Pyar ki har bhi, pyar ki jeet hai, Pyar mein harte, pyar mein jeet te, Pyar ke geet ki ham qalam ho gaye. Yaad karte rahe… Maine qudrat ke rangon mein doondha tujhe, Maine she'ron mein teri kahani likhi, Har haseen shey mein tera nazara kiya, Din mubarak likha, shab shuhani likhi. Sab hain apne yahan, koi duja nahin, Pyar sajda bhi hai, sirf pooja nahin, Ham azan ban ke goonje tumhare liye, Aur hamare liye tum bhajan ho gaye. Yaad karte rahe… Ham tumhare hue, tum kisi ke hue, Koi mera hua zindagi ke liye, Kuchh na jane hue, kuchh na samjhe hue, Jan deta hai meri khushi ke liye. Ai Muqaddas Khuda! tu use shad rakh, Uski khushiyan, g

Meri zeest ka hai ye qissa purana,

Meri zeest ka hai ye qissa purana, Tumhein yad karna, nahin bhool pana. Teri sadgi ne banaya tha bismil, Tere bholepan ne kiya tha deewana. Mere paas aa ke tera muskurana, Nazar se guzar kar, jigar mein samana. Ye ghazlein, kitabein, ye yaron ki mehfil, Tujhe bhool pane ka hain ik bahana. Na sun na kabhi bhi mere dil ke nale, Akele mein meri ghazal gungunana. Nazar mein hai tujhse bichhadne ka alam, Wo ro-ro ke tera mujhe bhi rulana. Muhabbat ki khatir, zamane se ladna, Zamane ki khatir, muhabbat bhulana, Hua kya hai 'Sagar', hamein bhi batao, Zamane se milna, na mehfil mein aana.

Kuch to tanhayi ki ratoon main sahara hota

Kuch to tanhayi ki ratoon main sahara hota Tum na huwe na sahi zikar tumara hota  Zindagi kitni musarat se guzari yarab  Aish ki tarah agar gham bhi gawara hota Gham_e_ ulfat jo na milta gham_e_ hasti milta Kisi surat to zamane main guzara hota Kis ko fursat thi zamane k sitam sahne ki   Agar na us shokh ki aankhon ka ishara hota Koi humdard zamane main na paya Dil ki hasrat hi rahi koi hamara hota

Bhooton Ka Raaz

ELAHI aansou bhari zindagi kisi ko na de

ELAHI aansou bhari zindagi kisi ko na de Khushi k baad ghamen beykasi kisi ko na de Udas dil ki tamana hay ashqbaar hoon main khizaan main jaise baharoon ki yaadgaar hoon main Udasi jis pe hanse woh hansi kisi ko na de Ujaar kar meri dunya ko rakh deya tu ne Meri hayat k malik yeh kiya kya tu ne  Jo ghamnaseb ho esi khushi kisi ko na de

Teri khushboo ka pata karti hai

  Teri khushboo ka pata karti hai  mujh pe ehsan hawa karti hai  chum kar phool ko ahista se muajza bad e saba karti hai  khol kar band e qaba, gul ke hawa aaj khushboo ko riha karti hai  abr barse to inayat us ki  shakh to sirf dua karti hai  zindagi phir se fiza mein roshan mashal e barg e hina karti hai  hum ne dekhi hai wo ujli saet  raat jab sher kaha karti hai  shab ki tanhai mein ab to aksar  guftagoo tujh se raha karti hai dil ko us rah pe chalna hi nahi   jo mujhe tujh se juda karti hai  zindagi meri thi lekin ab to tere kahne mein raha karti hai  us ne dekha hi nahi warna ye aankh dil ka ahwal kaha karti hai  mashaf e dil pe ajab rango mein ek tasweer bana karti hai  be niyaz kaf e darya angusht  ret per nam likha karti hai  dekh tu aan ke chehra mera ik nazar bhi teri, kya karti hai  zindagi bhar ki ye takhair apni  ranj milne ka siwa karti hai  sham padte hi kisi shaks ki yaad  kuch e jana mein sada karti hai  mas_ala jab bhi c

Chandni raat ko seher kahna

Chandni raat ko seher kahna  Dostoo! yun naheen magar kahna  Ab kahan woh bahar pohloon ki  Gul_e_nargis ko chasham_e_tar kahna  Bujh chuke hain mohabtoon k cheraag   In deyaroon ko ab khandar kahna  Rahh main lot k bathne walo  Ab kisi ko na hamsafar kahna  Khud ujagar karo hunar apna  Dusaroon ko na kam nazar kahna  Ham ko aawargi k parde main  Dil ki bateen edhar udhar kahna  Zekar tera gali gali karna  Haal apna nagar nagar kahna  Lab_e_goya azaab_e_jaan hay"Fraz"  Jo bhi kahna ho,soch kar kahna

Udas logoon se pyaar karna koi to sekhe.

Udas logoon se pyaar karna koi to sekhe.  Safed lamhon main rang bharna koi to sekhe  Koi to aye khizaan main paty ugane wala .Guloon ki khushbo ko kaid karna koi to sekhe  Koi dekhaye mohabbton ke cherag mujh ko  Meri nigahon se baat karna koi to sekhe  Koi to aye nayi ruton ka pagaam le kar  Andheri ratoon main chand banna koi to sekhe

Dil bhul geya lekin ashqon ko yeh samjhana

Dil bhul geya lekin ashqon ko yeh samjhana  Aankhon main to aye ho daman pe na aa jana  Rahoon main mohabbat ki kuch farz bhi ate hain  Aa jayeen agar aansou aankhon main hi pi jana  Dekhe they mohabbat ne jo khawab bhula doongi   Aise main magar muj ko tum yaad na aa jana  Ham haal mohabbat ka aankhon se sunate hain  Khamoshi ki khamoshi,afsane ka afsana Garne ka na ho manzar ek duubti kashti ka  Awaaz tumeen doongi sahil pe chale ana  Sahil pe khare ho kar kah dena KHUDA hafiz  Tum duubti kashti k nazdeek na aa jana

Kuch tum se kaha jaye kuch tum se suna jaye

Phir jaag utha sai qayamat mere dil mein

Kismat

Ratjaga

Mere dushmano ki na baat kar mujhe doston ki talash hai

Najane kin gham ke jugnaon ko chupaye phirti hai muthion mein

Tere zehan se waham ke parde utar gaye to baat hogi

Kabhi to kuch kaho tum bhi

Woh ek manzil musafaton mein jo kho gayi thi woh dhoondta hoon

Mohabbaton ke yakeen mein aa kar daga hua na wohi hua na

Na woh khwab hein ne khayal hein koi zindagi ki sada nahin

Zabt-e-ehsas-e- mohabbat ka bayan tak na millay

Ujray hoye logon se gurezan na hua kar

Faqeeh-e-shehr ke majlis say kuch bhala na hua

Chand se mein ne kaha aye meri raaton ke rafeq

Yaad aata hai to kyun iss se gila hota hai

Aaj kyun meri rafaqat bhi geran hai tujhko

waraftgi mein dil ka chalan intaha ka tha

Yeh kya keh sab se bayan dil ki halatein karni

chalay thay yaar bade zam mein hawa ki tarah

Laga kar zakhm badan per qabahin deta hai

Bahut bechain rehta hoon tumhee iski khabar kya ho

shaam ke saaye jo pedon se utar jaye hai

Khezan Ki Rut Main

Roz ek dastan nai or tum

samandar tha musafat ka magar ik kafala tanha

Dar pe jo intezar ki aadat nahi hoi

wohi bewaja ki udaasiyan kabhi wahshatein tere shehar mein

Aaj ka din agar guzar jaye

woh adhoray zest ke lafz thay inhein kya likho gay yeh jaan kar

Andekhi khwabon ka pemah si ek zindagi

Manzilon se bhi kahin aage safar millty hein

Lamha lamha yaad aata hai pechli rut ka sath tumhara

Phir kya karo gi

Khwahish

Muhabbat

shaakh-e -chaman ka kanta nahin gulab humara qatil hai

Kya hai dewangi?asma se poch

ik atish fishan khamosh para hai

fatwa-e-falak

Dil samandar andar Mado Jazar

Aah-e- majnoon

Sitam Zarifi

Sakoon

Bohat tunha hoon mein awaz to de

Koi mane ya na mane her zamane mein

Rah main rahty hoye manzil mein rahta hoon

Aye udaas raat mujh se baat na kar

Kitab ki zindagi bas behtar kitab mein hai