Tum ghair ke ho baithe, ham ab bhi tumhare hain,
Ab sath nahin tera, yadon ke sahare hain.
Ik mubham tabassum hi, tum ham ko ata kar do,
Un lamhon ki khatir hi, jo mil ke guzare hain.
Ho jayegi pa-bosi, gar sair ko tum niklo,
Baghon mein nahin shabnam, aansu ye hamare hain.
Jis kam ko karta hun, takmil nahin hota,
Aflak mein gardish hai, gardish mein sitare hain.
Ik turfa tamasha hai, sab dekh ke hairan hain,
Majhdhar mein khamoshi, tufan mein kinare hain.
Hai kaun wahan tera, us par jo takte ho,
Ye kiski sadayein hain, ye kiske ishare hain.
Dil-sokht sahi 'Sagar', par aisa bhi kya hardam,
Guftar mein aatish hai, she'ron mein sharare hain.
Har nazm meri 'Sagar', ik dard ka paikar hai,
Hathon ko qalam kar ke, ye naqsh ubhare hain.