Skip to main content

Teri khushboo ka pata karti hai

 Teri khushboo ka pata karti hai
 mujh pe ehsan hawa karti hai 

chum kar phool ko ahista se
muajza bad e saba karti hai 

khol kar band e qaba, gul ke hawa
aaj khushboo ko riha karti hai 

abr barse to inayat us ki 
shakh to sirf dua karti hai 

zindagi phir se fiza mein roshan
mashal e barg e hina karti hai 

hum ne dekhi hai wo ujli saet 
raat jab sher kaha karti hai 

shab ki tanhai mein ab to aksar 
guftagoo tujh se raha karti hai

dil ko us rah pe chalna hi nahi
  jo mujhe tujh se juda karti hai 

zindagi meri thi lekin ab to
tere kahne mein raha karti hai

 us ne dekha hi nahi warna ye aankh
dil ka ahwal kaha karti hai

 mashaf e dil pe ajab rango mein
ek tasweer bana karti hai

 be niyaz kaf e darya angusht 
ret per nam likha karti hai 

dekh tu aan ke chehra mera

ik nazar bhi teri, kya karti hai 

zindagi bhar ki ye takhair apni
 ranj milne ka siwa karti hai 

sham padte hi kisi shaks ki yaad
 kuch e jana mein sada karti hai 

mas_ala jab bhi chiragho ka utha
faisla sirf hawa karti hai

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.