Kuch to tanhayi ki ratoon main sahara hota

Kuch to tanhayi ki ratoon main sahara hota
Tum na huwe na sahi zikar tumara hota

 Zindagi kitni musarat se guzari yarab
 Aish ki tarah agar gham bhi gawara hota

Gham_e_ ulfat jo na milta gham_e_ hasti milta
Kisi surat to zamane main guzara hota

Kis ko fursat thi zamane k sitam sahne ki 
 Agar na us shokh ki aankhon ka ishara hota

Koi humdard zamane main na paya
Dil ki hasrat hi rahi koi hamara hota