Dil bhul geya lekin ashqon ko yeh samjhana

Dil bhul geya lekin ashqon ko yeh samjhana
 Aankhon main to aye ho daman pe na aa jana

 Rahoon main mohabbat ki kuch farz bhi ate hain
 Aa jayeen agar aansou aankhon main hi pi jana

 Dekhe they mohabbat ne jo khawab bhula doongi 
 Aise main magar muj ko tum yaad na aa jana

 Ham haal mohabbat ka aankhon se sunate hain
 Khamoshi ki khamoshi,afsane ka afsana

Garne ka na ho manzar ek duubti kashti ka
 Awaaz tumeen doongi sahil pe chale ana

 Sahil pe khare ho kar kah dena KHUDA hafiz 
Tum duubti kashti k nazdeek na aa jana