Skip to main content

Yaad karte rahe

Yaad karte rahe, aah bharte rahe,
Roz jeete rahe, roz marte rahe,
Apne jazbat ko qatl karte rahe,
Aur patthar ke ham ik sanam ho gaye.

Zakhm hijrat ka teri mere dil pe hai,
Rooh tufan mein hai, jism sahil pe hai;
Qatl karne se pehle badal jayega,
Ham ko ab bhi bharosa ye qatil pe hai.

Zindagi saz hai, pyar sangeet hai,
Pyar ki har bhi, pyar ki jeet hai,
Pyar mein harte, pyar mein jeet te,
Pyar ke geet ki ham qalam ho gaye.

Yaad karte rahe…

Maine qudrat ke rangon mein doondha tujhe,
Maine she'ron mein teri kahani likhi,
Har haseen shey mein tera nazara kiya,
Din mubarak likha, shab shuhani likhi.

Sab hain apne yahan, koi duja nahin,
Pyar sajda bhi hai, sirf pooja nahin,
Ham azan ban ke goonje tumhare liye,
Aur hamare liye tum bhajan ho gaye.

Yaad karte rahe…

Ham tumhare hue, tum kisi ke hue,
Koi mera hua zindagi ke liye,
Kuchh na jane hue, kuchh na samjhe hue,
Jan deta hai meri khushi ke liye.

Ai Muqaddas Khuda! tu use shad rakh,
Uski khushiyan, ghar uska tu aabad rakh,
Usko har gham se Maula tu aazad rakh,
Us pe ab tak bahut se sitam ho gaye.

Yaad karte rahe…

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.