Meri zeest ka hai ye qissa purana,
Tumhein yad karna, nahin bhool pana.
Teri sadgi ne banaya tha bismil,
Tere bholepan ne kiya tha deewana.
Mere paas aa ke tera muskurana,
Nazar se guzar kar, jigar mein samana.
Ye ghazlein, kitabein, ye yaron ki mehfil,
Tujhe bhool pane ka hain ik bahana.
Na sun na kabhi bhi mere dil ke nale,
Akele mein meri ghazal gungunana.
Nazar mein hai tujhse bichhadne ka alam,
Wo ro-ro ke tera mujhe bhi rulana.
Muhabbat ki khatir, zamane se ladna,
Zamane ki khatir, muhabbat bhulana,
Hua kya hai 'Sagar', hamein bhi batao,
Zamane se milna, na mehfil mein aana.
Tumhein yad karna, nahin bhool pana.
Teri sadgi ne banaya tha bismil,
Tere bholepan ne kiya tha deewana.
Mere paas aa ke tera muskurana,
Nazar se guzar kar, jigar mein samana.
Ye ghazlein, kitabein, ye yaron ki mehfil,
Tujhe bhool pane ka hain ik bahana.
Na sun na kabhi bhi mere dil ke nale,
Akele mein meri ghazal gungunana.
Nazar mein hai tujhse bichhadne ka alam,
Wo ro-ro ke tera mujhe bhi rulana.
Muhabbat ki khatir, zamane se ladna,
Zamane ki khatir, muhabbat bhulana,
Hua kya hai 'Sagar', hamein bhi batao,
Zamane se milna, na mehfil mein aana.