Chandni raat ko seher kahna
Dostoo! yun naheen magar kahna
Ab kahan woh bahar pohloon ki
Gul_e_nargis ko chasham_e_tar kahna
Bujh chuke hain mohabtoon k cheraag
In deyaroon ko ab khandar kahna
Rahh main lot k bathne walo
Ab kisi ko na hamsafar kahna
Khud ujagar karo hunar apna
Dusaroon ko na kam nazar kahna
Ham ko aawargi k parde main
Dil ki bateen edhar udhar kahna
Zekar tera gali gali karna
Haal apna nagar nagar kahna
Lab_e_goya azaab_e_jaan hay"Fraz"
Jo bhi kahna ho,soch kar kahna
Dostoo! yun naheen magar kahna
Ab kahan woh bahar pohloon ki
Gul_e_nargis ko chasham_e_tar kahna
Bujh chuke hain mohabtoon k cheraag
In deyaroon ko ab khandar kahna
Rahh main lot k bathne walo
Ab kisi ko na hamsafar kahna
Khud ujagar karo hunar apna
Dusaroon ko na kam nazar kahna
Ham ko aawargi k parde main
Dil ki bateen edhar udhar kahna
Zekar tera gali gali karna
Haal apna nagar nagar kahna
Lab_e_goya azaab_e_jaan hay"Fraz"
Jo bhi kahna ho,soch kar kahna