Hamare ishq ke afsane kal kahan honge,
Karenge yaad tumhein chahe ham jahan honge.
Zamana guzra hai unko, qareeb dekhe hue,
Kaha tha jisne ki do jism ek jan honge.
Chale ho jin pe liye hath hath mein mera,
Wo raaste bhi kabhi rashq-e kehkashan honge.
Karoge bat to hir-phir ke hoga zikr mera,
Jo chup rahoge to aankhon se ham ayaan honge.
Rahenge sath khushi se tumhari qurbat mein,
Qafas mein reh ke bhi ham ahl-e aashiyan honge.
Kise khabar thi muhabbat mein sath rehte hue,
Taweel fasle bhi apne darmiyan honge.
Badhega jab bhi kisi ka qadam su-e maqtal,
Zamana dekhega ham meer-e karvan honge.
Tumhare dar se hai nisbat janam-janam ki hamein,
Fana ke ba'd bhi ham khak-e aastan honge.
Wafa ki rah mein 'Sagar' khyal itna rahe,
Abhi to aage bahut ismein imtihan honge.