Skip to main content

Posts

Showing posts from June, 2013

karoroN chehray aur un k peechay karoroN chehray

karoroN chehray aur un k peechay karoroN chehray yeh raastay haiN k bhir k chattay zameen jismoN say dhak gai hai qadam to kia til bhi dharnay ko ab jagah nahiN hai yeh daikhta hooN to sochta hooN k ab jahaN hooN waheeN simat k khara rahooN maiN magar karooN kia k ruk gaya to  jo bheer peechay say aa rahi hai woh mujh ko pairoN talay kuchal day gi, pees day gi to ab jo maiN chalta hooN to khud mere apne pairoN maiN aa raha hai kisi ka seena, kisi ka bazu, kisi ka chehra chalooN to auroN pe zulm dhaaooN rukoN to auroN k zulm jhailooN zameer tujh ko to naz hai apni musafi par zara sunooN to  k aaj tera kia faisla hai?

suno woh haadisa kya tha

suno woh haadisa kya tha sakoon cheena tha kis ne kis ne palkoon pe sitaare aur hontoon ko faghan di thi wafa ke naam par kis ne jafa bhar di thi daaman mein tumhari shookh aankhoon mein sitare kis ne sinche thee batao kis ki khatir sadh lin khamoshiyan tum ne sitamgar kon tha orha gaya jo soug ka mausam adayeen lout kar jo dee gaya yeh roog ka mausam suno kuch to kaho woh kon tha

Safar meN dhoop to hogi jo chal sako to chalo

Safar meN dhoop to hogi jo chal sako to chalo Sabhi haiN bheeR meN tum bhi nikal sako to chalo Idhar udhar kayi manzil haiN chal sako to chalo Bane banaaye haiN saaNche jo Dhal sako to chalo Kisi ke waaste raaheN kahaaN badalati haiN Tum apane aap ko Khud hi badal sako to chalo YahaaN kisi ko koyii raastaa nahi detaa Mujhe giraake agar tum sambhal sako to chalo Yahi hai zindagi, kuchh Khaak, chand ummeedeN Inhi khilonoN se tum bhi bahal sako to chalo Har ik safar ko hai mahafooz raastoN ki talaash HifaazatoN ki rivaayat badal sako to chalo KahiN nahi koi sooraj dhuaaN dhuaaN hai fizaa Khud apane aap se baahar nikal sako to chalo

Hum sada hi essay thay

Woh Loog

Dua

Ek lamhe ke liye

Loog kahty hein

Her Qadam tumhara manzil ki traf uthay

Aaj manzil pe

Lag raha tha wo kahin dekha hua tha

Lag raha tha wo kahin dekha hua tha Kya mujhe pahchaan ka dhoka hua tha Az sar -e- nau zindagi tarteeb pati Us se pahle dil mera murdaa hua tha Jaan lewaa  thi  hamari  pahredaari Muhtasib kuchh roz ka jaagaa hua tha Aaj – un peroN ke saaye yaad aaye!! Jin ko eendhan k liye kaataa hua tha Aaj kaise tere lab pe geet aaye?? Kal to chhup k roraha tha kya hua tha

Paas aayi thi magar jald hi wo kho bhi gayi

Paas aayi thi magar jald hi wo kho bhi gayi Zindagi tujh se mulaaqaat thi jo ho bhi gayi Ab  talak  aas teri dil men liye   phirtaa   hoon Khush gumaani ko mere teri hansi ro bhi gayi Ain mumkin hai ke aelaan e sahat yaabi ho Dard ki tees jo uththi thi abhi,  so bhi  gayi Hum to maasoom the bekar dara karte the Zindagi tujh se juda rahke basar ho bhi gayi Phir wohi aas ta’aaqub men lagi  hai  mere Biti baaton ke sabhi daagh mui dho bhi gayi

Saahil pe akeli shaam hun main

Saahil pe akeli shaam hun main Aur aaj tere naam  hun  main !! Ab shahr me kyun na ho chiraghan Jab   aaj  zer  e  daam  hun  main Bikhraao mujh men hai numayan Is mulk ka intezaam hun main Ab  kaun  kare  mujhe  mukammal Ek naqsh e naa  tamaam hun main Mujh ko sazaa e wasl mat do !! Seemab sifat nezaam hun main

Husn ke zer e baar ho ke na ho!!

Husn ke zer e baar ho ke na ho!! Ab mere dil me pyar ho ke na ho  Marg e amboh dekh aate hain!!!! Aankh phir ashkbaar ho ke na ho  Karb e paiham se hogaya pat_thar Ab ye seenaa figaar ho ke na ho  Phir yahi rut ho ain mumkin hai Par tera intezaar ho ke na ho  Shakh e zatoon ke amiN hum hain Shahr me ishtehaar ho ke na ho  Daagh e dil hum dikhaye jate hain Us pe hai _ Sharmsaar ho ke na ho  She’r mere sanbhal kar rakhna! Ab ghazal mushkbar ho ke na ho

Gham hai ya izteraar sa kuch hai

Gham hai ya izteraar sa kuch hai Yaa mujhe intezaar sa kuchh hai Be sabab aur kaun bhatke ga?? Dil hai,  aur be qaraar sa kuch hai Jab bhi chaahuN udaas hojauN! Khud pe ab ikhteyaar sa kuch hai Zindagi itni badnumaa to nahi!! Aayeene pe ghubaar sa kuch hai Ab gumaN ho raha hai manzil ka Saamne reg zaar sa kuch hai Hauslon ko abhi pata na chale Raste me hisaar sa kuch hai ! Mere andar ki rut khezaN jaisii Wo sarapa bahaar sa kuchh hai

ChaNd meN jo pariyaaN rahti haiN

ChaNd meN jo pariyaaN rahti haiN Hum  ko  milte dekh chuki   haiN In aankhoN me kyuN rahti ho ?? Jo har   dam  roti  rahti    haiN Laakh  nikaaluN  dil  se  lekin Khaab  nigoRe sab ziddi  haiN Us malakooti  husn ke,  logo Jitne Dhab haiN, aafaaqui haiN Aaj  jise  sun  kar tum  roye Wo baateN mujh per beeti haiN

Khush numa lafz ki sawari bas

Khush numa lafz ki sawari bas Shahr walon ko ek madari bas Ishq me aur kya hua hum se Dhang se ki hai ashk bari bas Ek nauras kali ka gul banna Zindagi!! teri payedaari bas Fasl e gul kaynat ki, mujh ko Teri chahat ki aik kiyari bas Manzilen ghair ke liye makhsus Apne hisse me khabkari bas Ek bejaan muskurahat hai !!!! Oonche logon ki inkesaari bas Aur kiyaa seekhte zamaane se Hogaye hum bhi kaar o baari bas

Jis se milna tha mil nahi paayaa !!

Jis se milna tha mil nahi paayaa !! Chaak daaman ka sil nahi paayaa Kaisi barsaat hogayi abke !!! Ek bhi phool khil nahi paayaa Raaz afshaa karun, are tauba Itna kam zarf dil nahi paayaa Chaand be daagh hai ! daleel is ki Us ke ‘aariz pe til nahi paayaa Saath khushiyon ka sirf pal do pal Dard bhi mustaqil nahi paayaa Log hairaan horahe the bahut Jab mujhe muzmahil nahi paayaa

Yeh raat koi chal chal gayi hai

Yeh raat koi chal chal gayi hai Jo nind bachi thi, jal gayi hai Aankhon ka bahao hai musalsal Chhoti si nadee ubal gayi hai !! Mal’oon khezaan ki shar pasandi Phoolon ka badan masal gayi hai Jis men teri aas jaagti thi !!!! Wo shaam rupahli dhal gayi hai Tu jab se bani hai dil ki zeenat Haalat hi meri badal gayi hai Ash’aar tapak rahe hain paiham Ek shaakh junun ki phal gayi hai

Jane kyuN pairahan pe dhool na thi

Jane kyuN pairahan pe dhool na thi Yeh musafat to be husool na thi Jazba E dil ko kab pata tha use Itni waraftagi qubool na thi Meri chahat meN sard waQfe the Bewafaayi teri fazool na thi Dukh hua, jab wo meri haalat par Dil giraftaa na thi, malool na thi Maut dhoke se le gayi jaaN ko Zindagi bhi to ba usool na thi

Us ne haNs kar hameN pukaaraa kya

Us ne haNs kar hameN pukaaraa kya Ho gayaa phir se woh hamaaraa kya? Jashn sa shahr e jaaN me kaisa hai Aa raha hai wo maah paaraa kya? Aarzoo, khaab, aas, mahroomii !! Hausla phir bhi hum ne haaraa kya Meri aankheN udaas rahti haiN Ab na aaye ga wo dobaaraa kya? AsmaaN par nazar nahi aataa Khogaya hai mera sitaaraa kya Dard  ki  saltanat pe baithaa hai Koi  farma-N-rawaa dobaaraa kya Ae dil e beqarar -  rahne de!!! Shahr e taskeen me hamaaraa kya Chaar aansu bahake sab chup hain RayegaaN qatl hai hamaaraa kya

Haath chhuute bhii to rishte nahii'n chho'daa karate

Haath chhuute bhii to rishte nahii'n chho'daa karate  vaqt kii shaakh se lamhe'n nahii'n todaa karate  jis kii aavaaz me'n silvat ho nigaaho'n me'n shikan  aisii tasviir ke tuka'de nahii'dn jo'daa karate  shahad jiine kaa milaa karataa hai tho'daa tho'daa  jaane vaalo'n ke liye dil nahii'n tho'daa karate  lag ke saahil se jo bahataa hai use bahane do  aisii dariyaa kaa kabhii rukh nahii'n mo'daa karte vaqt kii shaakh se lamhe'n nahii'n to'daa karte  jis kii aavaaz me'n silvat ho nigaaho'n me'n shikan  aisii tasviir ke tuka'de nahii'n jo'daa karte  shahad jiine kaa milaa karataa hai tho'daa tho'daa  jaane vaalo'n ke liye dil nahii'n tho'daa karte  lag ke saahil se jo bahataa hai use bahane do  aisii dariyaa kaa kabhii rukh nahii'n mo'daa karte 

Shaam se aa'nkh me'n namii sii hai

Shaam se aa'nkh me'n namii sii hai  aaj phir aap kii kamii sii hai  dafn kar do hame'n ki saa'Ns mile  nabz kuchh der se thamii sii hai  vaqt rahataa nahii'n kahii'n chhupakar  is kii aadat bhii aadamii sii hai  koii rishtaa nahii'n rahaa phir bhii  ek tasliim laazamii sii hai 

Zindagii yuu'n huii basar tanhaa

Zindagii yuu'n huii basar tanhaa  qaafilaa saath aur safar tanhaa  apane saaye se chau'nk jaate hai'n  umr guzarii hai is qadar tanhaaa  raat bhar bolate hai'n sannaate  raat kaate koii kidhar tanhaa  din guzarataa nahii'n hai logo'n me'n  raat hotii nahii'n basar tanhaa  hamane daravaze tak to dekhaa thaa  phir na jaane gaye kidhar tanhaa

Sabr har baar iKhtiyaar kiyaa,

Sabr har baar iKhtiyaar kiyaa, ham se hotaa nahiiN, hazaar kiyaa, aadatan tumne kar liye vaade, aadatan hamne bhii aitbaar kiyaa, ham ne aksar tumhaarii raahoN meN, ruk ke apnaa hii intizaar kiyaa, phir na maaNgeNge zindagii yaa rab, ye gunaah ham ne aik baar kiyaa.

Khushbuu jaise log mile afsaane meiN,

Khushbuu jaise log mile afsaane meiN, ek puraana Khat kholaa anjaane meiN, jaane kis kaa zikr hai is afsaane meiN, dard maze letaa hai jo duhraane meiN, shaam ke saaye baalishtoN se naape haiN, chaaNd ne kitnii der lagaa dii aane meiN, raat guzarte shaayad thoRaa vaqt lage, zaraa sii dhuup uNdel mere paimaane meiN, dil par dastak dene ye kaun aayaa hai, kis kii aahat suntaa huN viirane meiN.  

Kaiyon gharibon se khailtihai rat

Kaiyon gharibon se khailtihai rat Roz ek chand bailti hai rat Her tarf dhool mool urti hai Aasman jab lapait-ti hai rat Shamein sari bujha ke jati hai Gher kamamool janti hai rat  Aap ka zikr hota rahata hai Jab guzarti hai poochhti hai rat Rung urne laga hai chehre se Kitni kamzore ho gayee hai rat

Phoolon ki trah lab khol kabhi

Phoolon ki trah lab khol kabhi Khushbo ki  zaban mein bol kabhi Alfaz paraklhta rahata hai Aawaz hamari tol kabhi Anmol nahin lakin phir bhi Poochho to muft ka mol kabhi Yeh dil bhi apni zamein jaisa Hota hai danwa dol kabhi Kiyon bhari rahti hain palkein Raton ka wazan bhi tol kabhi Khirki bhi baith ke kati hain Yeh ratein chauras gol kabhi

Kuchh roz se ranjeedah hai

Kuchh roz se ranjeedah hai Yeh baat badi sanjeedah hai Chal dil ki rah se ho ke chalein Dil chasp hai aur pacheedah hai Hum umar khuda hota hai koi Jo bhi hai umar raseedah hai  Baidar nahinhai koi abhi Jo jage hai khuabeedah hai  Hum ki s se apni bat karein Her shakhs tera girveedah hai

Ek puraanaa mausam lauTaa yaad bharii puravaa_ii bhii,

Ek puraanaa mausam lauTaa yaad bharii puravaa_ii bhii, aisaa to kam hii hotaa hai vo bhii ho tanahaa_ii bhii, yaado.n kii bauchhaaro.n se jab palake.n bhiigane lagatii hai.n, kitanii sau.Ndhii lagatii hai tab maa.Njhii kii rusavaa_ii bhii, do do shaqle.n dikhatii hai.n is bahake se aa_iine me.n, mere saath chalaa aayaa hai aap kaa il saudaa_ii bhii, Khaamoshii kaa haasil bhii ik lambii sii Khaamoshii hai, un kii baat sunii bhii hamane apanii baat sunaa_ii bhii.

Mai.n apane ghar me.n hii ajnabii ho gayaa huu.N aa kar,

Mai.n apane ghar me.n hii ajnabii ho gayaa huu.N aa kar, mujhe yahaa.N dekhkar merii ruuh Dar gaii hai, saham ke sab aarzuue.N kono.n me.n jaa chhupii hai.n, lave.n bujhaa dii hai.n apne chehro.n kii, hasrato.n ne, ki shauq pahachanataa hii nahii.n, muraade.n dahliiz hii pe sar rakh ke mar gaii hai.n, mai.n kis vatan kii talaash me.n yuu.N chalaa thaa ghar se, ki apane ghar me.n bhii ajnabii ho gayaa huu.N aa kar.

Nazm uljhii huii hai siine me.n,

Nazm uljhii huii hai siine me.n, misare aTake hue hai.n hoTho.n par, u.Date-phirate hai.n titaliyo.n kii tarah, lafz kaaGaz pe baiThate hii nahii.n, kab se baiThaa huu.N mai.n jaanam, saade kaaGaz pe likhake naam teraa, bas teraa naam hii mukammal hai, isase bahatar bhii nazm kyaa hogii.

Qadam usii mo.D par jame hai.n

Qadam usii mo.D par jame hai.n  nazar sameTe hue kha.Daa huu.N  junuu.N ye majabuur kar rahaa hai palaT ke dekhuu.N  Khudii ye kahatii hai mo.D mu.D jaa  agarche ehasaas kah rahaa hai  khule dariiche ke piichhe do aa.Nkhe.n jhaa.Nkatii hai.n  abhii mere intazaar me.n vo bhii jaagatii hai kahii.n to us ke goshaa-e-dil me.n dard hogaa use ye zid hai ki mai.n pukaaruu.N  mujhe taqaazaa hai vo bulaa le  qadam usii mo.D par jame hai.n  nazar samete hue kha.Daa huu.N

Aa.Nkho.n me.n jal rahaa hai kyuu.N bujhataa nahii.n dhuua.N

Aa.Nkho.n me.n jal rahaa hai kyuu.N bujhataa nahii.n dhuua.N uThataa to hai ghaTaa saa barasataa nahii.n dhuaa.N chuulhaa nahii.n jalaaye yaa bastii hii jal ga_ii kuchh roz ho gaye hai.n ab uThataa nahii.n dhuaa.N aa.Nkho.n se po.nchane se lagaa aa.Nch kaa pataa yuu.N cheharaa pher lene se chhupata nahii.n dhuaa.N aa.Nkho.n se aa.Nsuo.n ke maraasim puraane hai.n mehamaan ye ghar me.n aaye.n to chubhataa nahii.n dhuaa.N

Ek paravaaz dikhaa_ii dii hai

Ek paravaaz dikhaa_ii dii hai terii aavaaz sunaa_ii dii haii jis kii aa.Nkho.n me.n kaTii thii sadiyaa.N us ne sadiyo.n kii judaa_ii dii hai sirf ek safaah palaT kar us ne biitii baato.n kii safaa_ii dii hai phir vahii.n lauT ke jaanaa hogaa yaar ne kaisii rihaa_ii dii hai aag ne kyaa kyaa jalaayaa hai shav par kitanii Khus-rang dikhaa_ii dii hai

Chalo naa bhaTake lafa.nge kuucho.n me.n

Chalo naa bhaTake lafa.nge kuucho.n me.n luchchii galiyo.n ke chowk dekhe.n sunaa hai vo log chuus kar jin ko vaqt ne raaste.n me.n phe.nkaa tha sab yahii.n aake bas gaye hai.n yeh chhilake hai.n zindagii ke in kaa ark nikaalo ki zahar in kaa tumhare jismo.n me.n zahar palate hai.n aur jitane vo maar degaa chalo naa bhaTak lafa.nge kuuch0.n mei.n

Din kuchh aise guzaarataa hai ko_ii

Din kuchh aise guzaarataa hai ko_ii jaise ehasaan utaarataa hai ko_ii aa_iinaa dekh ke tasallii hu_ii ham ko is ghar me.n jaanataa hai ko_ii pak gayaa hai shazar pe phal shayaad phir se patthar uchhalataa hai ko_ii phir nazar me.n lahuu ke chhii.nTe hai.n tum ko shaayad mughaalataa hai ko_ii der se guu.Njate.n hai.n sannaaTe jaise ham ko pukaarataa hai ko_ii

saans lenaa bhi kaisi aadat hai

saans lenaa bhi kaisi aadat hai  jiiye jaanaa bhi kyaa ravaayat hai  koi aahaT nahin badan mainn kahin koi saayaa nahin hai aakhoon main paanv behis hain, chalate jaate hain  ik safar hai jo bahataa rahataa hai  kitane barasoon se, kitani sadiyoon se  jiye jaate hain, jiye jaate hain  aadatain bhi ajeeb hoti hain 

Din ka kaiker kat kat ke kulhari se

Din ka kaiker kat kat ke kulhari se Rat ka indhen jama kiya hai! Seeli  lakri,karuyy dhuaein se Cholehy ki kuch sans chali hai! Pait pe rakhi chand ki chakki Sari rat mein peeson ga Sari  rat ure ga phir aakash pe chora!! Subah jungal  mei  ja ker Sooraj kat ke lana hoga!

Tukra ek dhoop ka jis kirki se aaya tha,usi

Tukra ek dhoop ka jis kirki se aaya tha,usi Kirki se wapas ja ker Kanch  pe thaher gaya-- Murke phir jaizah kamre ka liya Aur aahistah  se jaker Lan mein sahme huhai eik parinde ki trah baith gaya Ek  jhapte hi mein,sham usko uthaker Aam ke ja baithi,use noch diya Bal-o-per dhoop ke is pair se dair talak girte rahe!

Jahaa.N phuulo.n ko khilnaa thaa vahii.n khilte to accha thaa,

Jahaa.N phuulo.n ko khilnaa thaa vahii.n khilte to accha thaa, tumhii.n ko ham ne chaahaa thaa tumhii.n milte to accha thaa, ko_ii aakar hame.n puuchhe tumhe.n kaise bhulaayaa hai, tumhaare Khat ko ashko.n se shab-e-Gham me.n jalaayaa hai, hazaaro.n zaKhm aise hai.n agar silate to acchathaa, tumhe.n jitanaa bhulaayaa hai tumharii yaad aa_ii hai, bahaar-e-nau jo aa_ii hai vo hii Khushbuu laa_ii hai, tumhare lab merii Khaatir agar hilate to acchathaa, milaa hai lutf bhii ham ko hasii.n yaado.n kii jhil-mil me.n, kaTatii hai zindagii tum bin magar itanii sii hai dil me.n, agar tum aate to accha thaa agar milate to acchathaa.

Woh jo ziddi tha bohat, mai'n bhi to khudsar thehra,

Woh jo ziddi tha bohat, mai'n bhi to khudsar thehra, Ma’sala aur bigharna hi muqqadar thehra, Mai'n to saahil tha jo chalta bhi to kaise chalta, Woh bhi moujo'n ki tarah aaya to pal bhar thehra, Chaand pagla tha, chala aaya jo meri janib, Mai'n to baadal tha hamesha se be-ghar thehra, Woh chala aaya khayalo'n mai'n hena ki surat, Rang dena tha usey aur mai'n patthar thehra, Mai'n to baarish hoo'n baras jaou'n ga qatra qatra, Woh to kuch aur dhaley ga ke mar mar thehra, Koi dekhey to zara uss ki karishma-saazi, Dil main rehtey huey kaisey hai woh bahar thehra, Kuch hum bhi janooni they wafa kerney main, Aur kuch uss ki jafaoun main tawa-tar thehra, "Saad" phulou'n se sajata kabhi angan lekin, Woh to ghairou'n ki tarah soch ke dar per thehra.

Na main yoo'n dar badar phirta, na tum khudko saza daitey

Na main yoo'n dar badar phirta, na tum khudko saza daitey ye accha tha k ham dono zamane ko bhula daitey boht atcha huwa mehfil mai ruswai na ho pai khushi se ro hi parhtey ham agar tum muskura daitey ye behtar hai k dard apna, chupa hai apne siney mein wagar na SAAD dushman bhi bohot usko hawa daitey