Skip to main content

Na main yoo'n dar badar phirta, na tum khudko saza daitey


Na main yoo'n dar badar phirta, na tum khudko saza daitey
ye accha tha k ham dono zamane ko bhula daitey


boht atcha huwa mehfil mai ruswai na ho pai
khushi se ro hi parhtey ham agar tum muskura daitey


ye behtar hai k dard apna, chupa hai apne siney mein
wagar na SAAD dushman bhi bohot usko hawa daitey

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.