Skip to main content

Sabr har baar iKhtiyaar kiyaa,

Sabr har baar iKhtiyaar kiyaa,
ham se hotaa nahiiN, hazaar kiyaa,

aadatan tumne kar liye vaade,
aadatan hamne bhii aitbaar kiyaa,

ham ne aksar tumhaarii raahoN meN,
ruk ke apnaa hii intizaar kiyaa,

phir na maaNgeNge zindagii yaa rab,
ye gunaah ham ne aik baar kiyaa.

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.