Skip to main content

suno woh haadisa kya tha

suno woh haadisa kya tha
sakoon cheena tha kis ne
kis ne palkoon pe sitaare
aur
hontoon ko faghan di thi
wafa ke naam par kis ne
jafa bhar di thi daaman mein
tumhari shookh aankhoon mein
sitare kis ne sinche thee
batao kis ki khatir
sadh lin khamoshiyan tum ne
sitamgar kon tha
orha gaya jo soug ka mausam
adayeen lout kar jo dee gaya
yeh roog ka mausam
suno
kuch to kaho
woh kon tha

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.