Mai.n apane ghar me.n hii ajnabii ho gayaa huu.N aa kar,
mujhe yahaa.N dekhkar merii ruuh Dar gaii hai,
saham ke sab aarzuue.N kono.n me.n jaa chhupii hai.n,
lave.n bujhaa dii hai.n apne chehro.n kii, hasrato.n ne,
ki shauq pahachanataa hii nahii.n,
muraade.n dahliiz hii pe sar rakh ke mar gaii hai.n,
mai.n kis vatan kii talaash me.n yuu.N chalaa thaa ghar se,
ki apane ghar me.n bhii ajnabii ho gayaa huu.N aa kar.