Woh jo ziddi tha bohat, mai'n bhi to khudsar thehra,
Ma’sala aur bigharna hi muqqadar thehra,
Mai'n to saahil tha jo chalta bhi to kaise chalta,
Woh bhi moujo'n ki tarah aaya to pal bhar thehra,
Chaand pagla tha, chala aaya jo meri janib,
Mai'n to baadal tha hamesha se be-ghar thehra,
Woh chala aaya khayalo'n mai'n hena ki surat,
Rang dena tha usey aur mai'n patthar thehra,
Mai'n to baarish hoo'n baras jaou'n ga qatra qatra,
Woh to kuch aur dhaley ga ke mar mar thehra,
Koi dekhey to zara uss ki karishma-saazi,
Dil main rehtey huey kaisey hai woh bahar thehra,
Kuch hum bhi janooni they wafa kerney main,
Aur kuch uss ki jafaoun main tawa-tar thehra,
"Saad" phulou'n se sajata kabhi angan lekin,
Woh to ghairou'n ki tarah soch ke dar per thehra.