Skip to main content

Khushbuu jaise log mile afsaane meiN,

Khushbuu jaise log mile afsaane meiN,
ek puraana Khat kholaa anjaane meiN,

jaane kis kaa zikr hai is afsaane meiN,
dard maze letaa hai jo duhraane meiN,

shaam ke saaye baalishtoN se naape haiN,
chaaNd ne kitnii der lagaa dii aane meiN,

raat guzarte shaayad thoRaa vaqt lage,
zaraa sii dhuup uNdel mere paimaane meiN,

dil par dastak dene ye kaun aayaa hai,
kis kii aahat suntaa huN viirane meiN.
 

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.