Jahaa.N phuulo.n ko khilnaa thaa vahii.n khilte to accha thaa,
tumhii.n ko ham ne chaahaa thaa tumhii.n milte to accha thaa,
ko_ii aakar hame.n puuchhe tumhe.n kaise bhulaayaa hai,
tumhaare Khat ko ashko.n se shab-e-Gham me.n jalaayaa hai,
hazaaro.n zaKhm aise hai.n agar silate to acchathaa,
tumhe.n jitanaa bhulaayaa hai tumharii yaad aa_ii hai,
bahaar-e-nau jo aa_ii hai vo hii Khushbuu laa_ii hai,
tumhare lab merii Khaatir agar hilate to acchathaa,
milaa hai lutf bhii ham ko hasii.n yaado.n kii jhil-mil me.n,
kaTatii hai zindagii tum bin magar itanii sii hai dil me.n,
agar tum aate to accha thaa agar milate to acchathaa.