Skip to main content

Posts

Showing posts from June, 2012

Aaj ki raat yaadoN kay kuch mehmaaN aanay waalay haiN

    Aaj ki raat yaadoN kay kuch mehmaaN aanay waalay haiN Aaj udaasi nay phir chheRaa hai saaz Aaj dard phir kuch sunaayega Tanhaayiii nay baaNdhay haiN ghuNgroo Aaj waqt bhi thahar jaayega ChaaNd ! apni chaaNdni idhar rakh jaanaa Aanay haiN aaj kuchh bhoolay huay say chehray Ashko ! aaj tum bhi ji bhar kay beh lenaa Behal jaayeN aisay hi shaayad ahsaasoN kay safeenay Naghmo !Aaj qadam saMbhal saMbhal kay rakhna Aaj ki raat khwaaboN kay naam hai In lamhoN ka hai chalan aisaa Ki aaj tarpaygi takhleeq lefz dar lafz Khaamoshi ka zehr subko pilaayaa jaayega Aaj ki raat zindagi pay bhaari hai Aaj jalaiNgay khwaahishoN kay alaav HaNstay haNstay hoga aaj umeedoN ka qatl Meri zindagi aaj phir mayzbaan bani hai Woh baras jab jazbaat nay li thi pehli angRaayii Us baras ki yaad aaj mehmaan bani hai Woh door ufaq pay uthtay haiN ghubaar MehmaanoN kay qaafily pahuNchnay waalay haiN Dard-e-dil ko saMbhaaluN ab main Ai faza'oN tum hawa

kuchh is adaa se milate ho jaanaa.N kabhii kabhii

kuchh is adaa se milate ho jaanaa.N kabhii kabhii kaa.NTe bhii lagane lagate hai.n kaliyaa.N kabhii kabhii jab zabt-e-Gam dil pe na jaanaa.N ko_ii rahaa motii sajaa liye hai.n sar-e-mizsh_gaa.N kabhi kabhii shaayad ke naaKhudaa ko bhii logo Khabar na thii ruKh apanaa mo.D letaa hai tuufaa.N kabhii kabhii kuchh yuu.N lagaa ki husn sitaaro.n me.n ghir gayaa dekhii jo un kii maa.Ng me.n afshaa.N kabhii kabhii dil par lagii jo choTT to jii bhar ke ro liye yuu.N bhii kiyaa hai dard kaa daramaa.N kabhii kabhii naadaa.N ho is qadar tumhe ye bhii Khabar nahii.n chalataa hai masalehat se biii insaa.N kabhii kabhii tum un ko kyaa kahoge jo jhuuThii anaa ke saath dekhe gaye libaas me.n uriyaa.N kabhii kabhii iisaar me.n vafaa me.n aqiidat me.n pyaar me.n vo lagaa hai numaayaa.N kabhii kabhii

Koi Nazm Aysee Likhoon Kabhi

Koi Nazm Aysee Likhoon Kabhi Teri Baat Baat Ki Roshni Merey Harf Harf Main Bhar Sakey Tere Lams Ki Yeh Shaguftagi Merey Jism O Jaan Main Utar Sakey Koi Chandani Kisi Gehrey Rang Key Raaz Ki MereY RastooN Main Bikhar Sakey Teri Guftagu Se Banaoun Main Koi DastaaN Koi KehkashaaN HoN MuhabbatoN Ki Tamazatey Bhi Kamaal Tarha Sey MeherbaaN Terey BazouN Bahaar Main Kabhi Jhultey Howe GaoN Main Teri Justaju Ke Chiraag Ko Sar-e-Shaam Dil Main JalaoN Main Isi Jhilmilati Si Shaam Main LikhoN Nazm JO Tera Rup Ho KahiN Sakht JaroN Main Ek Dum Jo Chamak Uthey Koi Khusgawaar Si Dhoop Ho Jo Wafa Ki Taal Key Raqs Ka Koi Jeeta Jaagta Aqs Ho Koi Nazm Aysee LikhoN Kabhi Key Har Lafz Key Hath Main Tere Naam Key Tere Harf taza Kalaam Key Kaiy Raaz HoN Jinhain Munkashif Bhi KaroN Agar To Jahan-E-Sheir Key Baab Main merey Dil Pey Rakhi Kitaab Main TereY Chashm O Lab Bhi Chamak UthaiN Mujhey Roshni Ki FizaoN Main KahiN Ghair LaiN Koi Nazm Aysee L

Fursatoon main phir milna

Fursatoon main phir milna Beshumar batain hain Jo tumhain batana hain Aur tum ko jana he Is tarhan ki BAtain to fursatoon main hoti hain Fursatoon main phir milna Tum ko kia batain hum Aur kia chupain hum BAat chund lafzoon main Ye khatam nahi hogi Dastaan-e-gham hai ye Jitna muqtasir kerlo Itne kum nahi hogi khuwab kaise hote hain Inko kaise bunte hain zindagi ke naqshe main rang kaise bherte hain Roozo shab khayaloon main kis tarhan guzertay hain aur phir lamhoon main............ Rang kion bikhertay hain khwab kaise mertay hain rooh se siwa hoker jaan o dil juda hoker saans kaise laite hain choor hoke zakhmoon se kaise muskurate hain zindagi bina marzi kis tarhan bitate hain Is tarhan ki batain to fursaatoon main hoti hain aur tum ko jaldi he fursatoon main phir milna

na aamad ki aahat aur na janay ki toh milti hay

na aamad ki aahat aur na janay ki toh milti hay kab aatay ho??.....kab jatay ho?? kabhi kabhi aangan main laga jab...... imli ka yah pair hawa main hilta hay to.....,, eento ki deewar pe parchayee ka cheenta parta hay....aur... jazb ho jata hay jaisay sokhi mitti par.... koi pani k katray se phaink gaya ho...... dheery dheery angan main phir dhop sisakti rahti hay! band kamray main...... kabhi kabhi jab diye ki lo hil jati hay to, aik bara sa saya mujh ko ghont ghont peenay lagta hay aankhain mujh se door bhaith k mujh ko takti rahti hain kab aatay ho??......kab jatay ho???....... din main kitni baar mujhy tum yaad aatay ho!

zamaanaa yaad teraa ai dil-e-naakaam aataa hai

zamaanaa yaad teraa ai dil-e-naakaam aataa hai Tapak pa.Date hai.n aa.Nsuu jab vafaa kaa naam aataa hai vafaa tum se kare.nge dukh sahe.nge naaz uThaaye.nge jise aataa hai dil denaa use har kaam aataa hai akele karavaTe.n hai.n raat bhar bistar pe aur ham hai.n kahaa.N pahaluu ko Khaalii dekh kar aaraam aataa hai hasiino.n me.n basar kar dii javaanii 'Arzoo' ham ne lagaanaa dil kaa siikhe hai.n yahii ik kaam aataa hai

avval-e-shab vo bazm kii raunaq shamaa bhii thii paravaanaa bhii

avval-e-shab vo bazm kii raunaq shamaa bhii thii paravaanaa bhii raat ke aaKhir hote hote Khatm thaa ye afasaanaa bhii qaid ko to.D ke nikalaa jab mai.n uThake baguule saath hue dasht-e-adam tak jangal jangal bhaag chalaa viiraanaa bhii haath se kis ne saaGar paTakaa mausam kii bekaifii par itanaa barasaa TuuT ke baadal Duub chalaa maiKhaanaa bhii Khuun hii kii shirkat vo kyo.n na ho shirkat chiiz hai jhaga.De kii apano.n se vo dekh rahaa huu.N jo na kare begaanaa bhii ek lagii ke do hai.n asar aur dono.n hasb-e-maraatib hai.n lau jo lagaaye shammaa kha.Dii hai raqs me.n hai paravaanaa bhii

Zindagi hum teri dehleez pe aa baithey haiN

Zindagi hum teri dehleez pe aa baithey haiN hath meiN kasa-e-tadbeer he, aankhooN meiN ki mousm-e-gulrang ki khwahish he labooN pe tery bemuhar zamanooN key liye shikwey haiN zindagi hum teri dehleez pe aa baithey haiN ik zara dekh keh hum narm-mizajooN key liye koonsi raat he, jis raat key aanchal meiN hawa khwaab ko aaina-e-khwaab meiN sar karti he koonsa din he keh jis din ka zahoor harf-e-dil key liye sehra-e-tamanna ka safar karta he ik tery lams ki khatir hum ney khaima-e-dil meiN jalaye tery honey key charagh haaN magar koyi suraagh teri aahat, teri aawaz, teri qad-o-qamat-o-khushboo ka suraagh jaaNbelab haiN ....magar ik harf-e-tassali key liye zindagi, hum teri dehleez pe aa baithey hath meiN kasa-e-tadbeer liye Zindagi hum teri dehleez pe aa baithey....

mohabat aur khuwahish mein kaee bay naam rishte hein..

mohabat aur khuwahish mein kaee bay naam rishte hein.. magar jo ghor se deekhein.. tu donoon mein bohat se fasalle bhee iss tarhan mojood hein jaise.. samandar eik hota hai.. magar uss ke kinarre.. eik dojje se sarasar.. ajnabi aur mukhtalif rastoon ko chotte hein.. so aaisa hai.. samme ke iss samandar mein.. jahan her shai badalti hai.. wahan hum tum bhee badalle hein.. badalna tha.. keh rishte bhee humarre aks ki surat.. bohat ahistagi se iss tarhan karhwat badalte hein.. basa aukat bistar per perhi chadar peh silwat tak nahin perhti.. na aankhoon mein safar karte puranne rang hi tabdeel hote hein.. na baatoon ke tasalsul mein koee dewar aati hai.. bus itna hai.. keh khuwahish ki bandh muthi se woh jo reet si pul pul.. phisalti hai ussi ke beech mein shayad woh jazba bhee kaheen hota hai.. jisko pyar kehte hein.. mohabat naam hai jiska.. kabhi aaisa bhee hota hai.. humein khud aapne haathon se pheesalti reet ki.. reezish ka andaza nahin h

Jeenay waalay qaza say dartay hain

Jeenay waalay qaza say dartay hain Zehar pi kar dawa say dartay hain Zaahidon ko kisi ka khauf nahi Sirf kaali ghata say dartay hain Ahh!!--jo kuch kahay humain manzoor Naik banday khuda say dartay hain Dushmanon kay sitam ka khauf nahi Doston ki wafa say dartay hain Azm-o-himmat kay bawajood Ishq ki ibteda say dartay hain

Yeh din to katt he jata hai

Yeh din to katt he jata hai talash-e-rukht me lekin samandar shaam hoti hai to main ghabra sa jata hon shajar gum sum say hotay hain hawa bhi tham si jati hai wo kaali raat k sayay tumhari yaad dilatay hain bara numnaak hota hai tumhari yaad ka mausum badan bhi toot jata hai buhat si karwatain lay kar to bistar thak sa jata hai buhat si salwatain lay kar tarasta kiss tarah say hai dil-e-baitaab kia likhoon phir kaisay dil jalatay hain sulagtay khwabb kia likhoon main shayir hoon magar jana sabhi kuch likh nahi paataa phir aksar aisa karta hoon tumhara dard, tumhara ghum saray karb k lamhay main apnay naam karta hoon mujhay adat si hai apnay watan say dour rehnay ki yeh saray karb sehnay ki tumhain to choo bhi na payay yeh saray dard k sayay dua yeh lab pe ati hai tumharay naam hoti hai SAMANDAR SHAAM HOTI HAI SAMANDAR SHAAM HOTI HAI~!!

Muhabbat........ke..........Musam

Muhabbat........ke..........Musam zamanay ke sab musamoN se niralay bahar-o-khizan unke sab se judaa alag unka jhonkha alag hai ghataa Muhabbat ke khitay ke aab-o-hawa maawraa,....un anasir se joooo musamoN ke tageur ke bunyaad hain yee zameen-o-makaN ke kam-o-beesh se aisay............azad.............hain jesay subha-e-azal...jesay shaam-e-fana shab-e-rooz ke aalam ke aihkaam ko yee muhabbat ke musam nahe mantay! zindagi ke musafat ke anjaam koo yee muhabbat ke musam nahe mantay rafaqat ke khushbo se khali ho jo yee koi aisa manzar nahe dekhtay, WAFA...ke ailawa kisi kaam kooo yee muhabbat ke musam nahe mantay!

raat roti hai bichad kar tum se

  raat roti hai bichad kar tum se chand gum sum hai hawa band fizaon ki tarah ungliyan kampti hain hont yak-lakht kisi zalim o be-rahm tashanuj se lipat jate hain jab kabhi band darichon ki taraf dekta hoon hook uth-ti hai mere seenay ki gehrayi se barishein bichrhay hoye logo ki kis kadar dost howa karti hain' barf kar deti hain jaltay hoowe angaron ko aur kabi barf ko aatish mien badal deti hain meri veerani meri be-chaini teri jaan soz judai ki alam-naki mein iss tarah uljey hoowe hain ke sulajtey he nahi jis tarah kaanton bari shakh mein aanchal koi thoda kichta hai to kuch aur ulaj jata hai din bilakta hai tere hijr ke soonay pan mien shaam ghabra ke sisak uthti hai RAAT ROTI HAI BICHAR KAR TUM SE ungliyan kampti hain hont yak-lakht kisi zalim o be-rahm tashanuj se lipat jatey hain

lamha lamha behti yeh zindagi,

lamha lamha behti yeh zindagi, na janay kis taraf ja rahi hai, pal pal mujh say keh rahi hai, aao mere saath chalo mere hamsafar, lakin mere qadmon main kaise zanjeerain hain, jo mujhay janay say rookti hain, anjaan say rishton main mujhay baandhti hain, kuch rishtay jo mujhay mere apno nay diye hain, kuch rishtay jo is dil say vabasta hain, har rishtay ki apni talab hai taqaza hai, batta hua mera wajood aadha aadha hai, main kaise insaaf karu inkay saath, har koi apna haq mangta hai, kam nahi bohat ziyada mangta hai, ek rishta jo mera tujh say hai, wo khamosh hai mujh say kuch nahi mangta, khud jal kay mujhay sakoon deta hai, mere saath sanso ki tarha rawa'n hai, mujh say har waqt yahi kehta hai, mujhay tumsay kuch nahin chhahiye, bass mujhay yu'n hee qayam rakhna, meri garmi ko thandi mat parnay dena, apnay ehsas say mujhay zinda rakhna, tamaam rishton ko main nibha raha hoon, sabko sabka haq de raha hoon, pal pal jee raha h

Shagaf nahi tha zara b mujhe perhanay main

Shagaf nahi tha zara b mujhe perhanay main magar wo rooz sar e sham us ka aa jana kitab le ke mere samnay bahanay se koi too soch thi jo sochti wo rehti thi jhuka ke sir ko mere pass aa ke kehti thi kai sawal samjhnay hain aap se main nay na hoo ke aap mujhe lajawab hi ker dain meri nigah ko pamal e khawab hi ker dain haseen aankhon main wo aarzoo ke doray thay wo us ke gaal thay ya khoon ke katooray thay paseena tha ka tapakta tha us ke pathay se nigahain ashk e haya se bhari bhari us ki wafoor e sharm se wo hont kapkapatay thay qadam zamee-n pe jo dharti too larkharatay hoay kitab mujh ko thama ker wo samnay baithi thamai mujh ko laboon se nikal ker pencil nahitha farq kitaab aur us ke cheray main main us ko dekhta aur dekhta hi reh gia tha wo us ka dast e gulabi warq palat-ta hoa wo aanchal us ka mere samnay sarakta hoa haroof bhi meri nadanion pe hastay thay wo apnay seenay se note book hata leti ik aarzoo meri aaghoosh main lata deti

Mein jab bhi

Mein jab bhi zindagi ki chilchilaati dhoop mein tap kar.... Mein jab bhi doosron ke aur apney jhooth se thak kar... mein sabse lad ke, khud se haar ke, jab bhi us ek kamrey mein jaata tha... Woh halke aur gehrey kathaii rangon ka kamra, woh behadd meharbaan kamra... jo apni narm muthii mein mujhe aise chupa leta tha jaise koii maa... bachhe ko aanchal mein chupa le pyaar se daantey... yeh kya aadat hai jaltii dopahar mein maare maare ghoomtey ho tum Woh kamraa yaad aata hai... Dabeez aur khaasa bhaari kuch zara mushkil se khulney waala woh sheesham ka darwaazaa ki jaise koii akhad baap apney khurdurey seene mein shafkat ke samader ko chupaaye ho.... Woh kursii aur uskey saath woh judwaan behan uskii woh dono dost thi merii woh ek gustaakh muhfat aaiina jo dil ka achha tha woh behangam si almaari jo koney mein khadi ek boodhii annaa ki tarah aaiiney ko tanveeh karti thi woh ek guldaan nanha sa bahut shaitaan un do

Subah k ujalo.n mei jab bhi Aankh khulti hai

Subah k ujalo.n mei jab bhi Aankh khulti hai Main tere Khayalon se Aetraaz karne ka Ahed kar ke ut tha hoon Yunhi be-Khiyali mein Jab Saeed ka koi Shair Gungunata hoon Rooh Jag utth.ti hai Dil Sakoon pata hai Lekin os ke Shairon par jab bhi Ghaur karta hoon Mujh ko Eisa lagta hai Wo Sitam Gazeeda bhi Apni Sari Ghazlon mein Tera Zikr karta hai Main Tere Khiyalon se Sar Jatak ke utth.ta hoon Taiz Taiz Qadmon se Shehar ko nikhalta hoon Pur hajoom Galiun mein har jaga Dukano.n par Be-Qaraar Phirta hoon Tujh ko bhool jata hoon be-Niaz Lamhon mein jab Koi Pari pekar Paass se Guzarti hai Mera Dil machalta hai Zor se dharakta hai Aur Wo pari pekar Tera Aks lagti hai Phir Wohi Teri Yadein.....Phir Shikast khata hoon Aur main teri yadon se Door bhag jane ko Sabz Posh Baghon mein Sair ko nikhalta hoon Sabz Chader par Sar jhukaey chalta hoon be-Shumaar pholon ke Rang aur khoshbu se Dil Zara behalta hai Phir kahein Darakhton ke Pursakoon Saaye mein

Taalloq is tarah toora nahin kartay

Taalloq is tarah toora nahin kartay Keh phir say jorna dushwaar ho jaye Hayat ik zehar main dobi hoi talwaar ki manind Mohabbat is tarah chora nahin kartay Rawadari ka hergiz rasta chora nahin kartay Mohabbat main sabhi aik dosray ko aazmatay hain Magar aisa nahin kartay Keh her omeed her imkaan toot jaye Kahan tak khinchi ho dory yeh andaza rakhtay hain Hamesha char deewari main ik darwaza rakhtay hain Judai mustaqil ho tu zindgee zindaan ho jaye Tu sonno ! Jeenay say moon mora nahin kartay Mohabbat is tarah chora nahin kartay….

Lamhay

  Lamhay Kuch bhi tu nahee mere paas Teri yaadoon ke siwa Teri pyaar bhari baatoon ke siwa Mujhe yaad hai sab kuch Tera woh kehna ke kitni khobsurat hain aankhain tumhari Kitne rung hain in main Yeh kitna muskuraati hain Yeh kitni baatain karti hain Main thori door hojaoon tau Mujhe waapis bulaati hain Yeh mujh ko aazmaati hain Magar Ab kuch bhi tu nahee bacha in mein Tere khwaaboon ke siwa Teri yaadoon ke siwa...

Apni Jaan Nazar Karoon

YE WATAN TUMHARA HAI-MAHDI HASSAN

Mohabbat Karne Waley

Ab ke hum bichray

Jaddun teri Duniya toon pyar tur jaye ga

Duniya Kisi Ke Pyar Mein

Rafta Rafta Wo Mere

Mai khayal hoon kise aur ka.

har dard ko ae jaan main

Nishan Bhi Koi

Main Hosh Main Tha

Ghuncha E shauq Laga Hai

HUM CHALEY ISS JAHAN SE

EK HUSN KI DEVI SE

YE KAGZI PHOOL JESE CHEHRE

Hamare dil se mat khelo

EK BAAR CHALE AAO PHIR AA KE CHALE JAANA

Hum se badal gaya woh nigahein

Jab Koi Pyaar Se Bulaye Ga

mujhe tum nazar se giraa to rahe ho

Ranjish hee sahee

ZINDAGI MEIN TU SABHI

Khuli Jo Ankh

aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal kii tarah

aaj kii raat bhii guzarii hai merii kal kii tarah haath aaye na sitaare tere aa.Nchal kii tarah raat jalatii hu_ii ik aisii chitaa hai jis par terii yaade.n hai.n sulagate huye sa.ndal kii tarah tuu ki dariyaa hai magar merii tarah pyaasaa hai mai.n tere paas chalaa aa_uu.Ngaa baadal kii tarah mai.n huu.N ik Khvaab magar jaagatii aa.Nkho.n kaa "Ameer" aaj bhii log gavaa.N de na mujhe kal kii tarah

aaj jaane kii zid na karo

aaj jaane kii zid na karo yuu.N hii pahaluu me.n baiThe raho haaye! mar jaaye.ge, ham to luT jaaye.ge aisii baate.n kiyaa na karo tum hii socho zaraa kyuu.N na roke tumhe.n jaan jaatii hai jab uThake jaate ho tum tum ko apanii kasam jaan-e-jaa.N baat itanii merii maan lo vaqt kii qaid me.n zindagii hai magar chand gha.Diyaa.N yahii hai.n jo aazaad hai in ko kho kar abhii jaan-e-jaa.N umr bhar na taraste raho kitanaa maasuum-o-rangiin hai ye samaa husn aur ishq kii aaj meraaj hai kal ki kis ko Khabar jaan-e-jaa.N rok lo aaj kii raat ko gesuuo.n kii shikan hai abhii shabanamii aur palako.n ke saaye bhii madahosh hai.n husn-e-maasuum ko jaan-e-jaa.N beKhudii me.n na rusvaa karo

aaj bhii hai mere qadamo.n ke nishaa.N aavaaraa

aaj bhii hai mere qadamo.n ke nishaa.N aavaaraa terii galiyo.n me.n bhaTakate the jahaa.N aavaaraa tujh se kyaa bichha.De to ye ho ga_ii apanii haalat jaise ho jaaye havaao.n me.n dhuaa.N aavaaraa mere shero.n kii thii pahachaan usii ke dam se us ko kho kar hue benaam-o-nishaa.N aavaaraa jis ko bhii chaahaa use TuuT ke chaahaa "Raashid" kam mile.nge tumhe.n ham jaise yahaa.N aavaaraa

aaj ashko.n kaa taar TuuT gayaa

aaj ashko.n kaa taar TuuT gayaa rishtaa-e-intazaar TuuT gayaa yuu.N vo Thukaraa ke chal diye goyaa ik khilaunaa thaa pyaar TuuT gayaa roye rah-rah kar hich_kiyaa.N lekar saaz-e-Gam baar baar TuuT gayaa [saaz = musical instrument] aap kii beruKhii kaa shikavaa kyaa dil thaa naapaa_idaar TuuT gayaa [naapaa_idaar = weak/delicate] dekh lii dil ne.n besabaatii-e-gul phir tilism-e-bahaar TuuT gayaa [besabaatii-e-gul = mortality/short life span of a flower] [tilism-e-bahaar = (magic)spell of spring] 'Saif' kyaa chaar din kii ranjish se itanii muddat kaa pyaar TuuT gayaa

aaj ai dil lab-o-ruKhasaar kii baate.n haii sahii

aaj ai dil lab-o-ruKhasaar kii baate.n haaaj ai dil lab-o-ruKhasaar kii baate.n haii sahii vaqt kaT jaayegaa kuchh pyaar kii baate.n hii sahii yuu.N to kaTatii hii rahegii Gam-e-dauraa.N me.n hayaat aaj kii raat Gam-e-yaar kii baate.n hii sahii [Gam-e-dauraa.N = sorrows of the world] zindaa rahane kii kabhii to ko_ii suurat nikale isharat-e-aalam-e-diidaar kii baate.n hii sahii [isharat-e-aalam-e-diidaar = state of jay at the prospect of seeing one's beloved] ko_ii to baat chhi.De aaj bahut jii hai udaas kam se kam rahamat-e-aGyaar kii baate.n hii sahii [rahamat-e-aGyaar = benevolence of strangers] ab to tanhaa_ii ko ye karb na hogaa bardaasht kuchh nahii.n to dar-o-diivaar kii baate.n hii sahii [karb = anguish] ye bhii kyaa kam hai unhe.n qurbat-e-gul to hai nasiib aaj gul kii na sahii Khaar kii baate.n hii sahii [qurbat = nearness/vicinity; Kkaar = thorn] ye to tai hai ki jiye jaaye.nge har haal me.n ham un ke lab par rasan-o-daar kii baate.n hii sahii [tai = decided/final; rasa

aa_iinaa hairaan hai aur aasmaa.N rone ko hai

aa_iinaa hairaan hai aur aasmaa.N rone ko hai is tamaash_gaah me.n ab aur kyaa hone ko hai kashtagaan-e-dard ko jaa.N kii amaa.N kaise mile zindagii kii har duaa apanaa sar khone ko hai [kashtagaan-e-dard = pain that starts and stops/intermittent pain] [amaa.N = protection] niind ke maare kisii sapane kii Khvaahish kyaa kare.n har gha.Dii mahasuus hotaa hai sahar hone ko hai kis ke naqsh-e-paa ko samajhe.n apanii manzil kaa nishaa.N jhaag u.Daatii mauj aakar har nishaa.N dhone ko hai [naqsh-e-paa = footprints; jhaag = foam; mauj = wave] kaash ye ko_ii sitaaraa yaa ko_ii juganuu kahe har andheraa kah rahaa hai roshanii hone ko hai ai havaa-e-be-yaqiinii gul na kar ghar ke charaaG chand lamho.n ko Thahar jaa kuchh na kuchh hone ko hai [chand = few]

aa_ii na phir nazar kahii.n jaane kidhar ga_ii

aa_ii na phir nazar kahii.n jaane kidhar ga_ii un tak to saath gardish-e-shaam-o-sahar ga_ii [gardish-e-shaam-o-sahar = passage of time] kuchh itanaa besabaat thaa har jalvaa-e-hayaat lauT aa_ii zaKhm khaa ke jidhar bhii nazar ga_ii [besabaat = momentary] aa dekh mujh se ruuThane vaale tere baGair din bhii guzar gayaa merii shab bhii guzar ga_ii naadim hai apane apane qariino.n pe har nazar duniyaa lahuu uchchhaal ke kitanii nikhar ga_ii

aahaT

intizaar... har sitaare ke duruuKhshaa.N haath me.n ha.Nsataa thaa sannaaTe kaa phuul ek dam aahaT hu_ii phuul kii ek ek pattii TuuT kar girane lagii gir rahii hai.n pattiyaa.N... aane vaale kii musal_sal aahaTe.n der se mujh ko sunaa_ii de rahii hai.n is tarah ab mere paas tak pahu.Nchane ke liye 'Bani' hai goyaa do qadam kaa faasalaa

aaGaaz to hotaa hai anjaam nahii.n hotaa

aaGaaz to hotaa hai anjaam nahii.n hotaa jab merii kahaanii me.n vo naam nahii.n hotaa [aaGaaz = start; anjaam = end/result] jab zulf kii kaalikh me.n ghul jaaye ko_ii rahii bad_naam sahii lekin gum_naam nahii.n hotaa [kaalikh = blackness] ha.Ns ha.Ns ke javaa.N dil ke ham kyo.n na chune.n Tuka.De har shaKhs kii qismat me.n inaam nahiin hotaa bahate hue aa.Nsuu ne aa.Nkho.n se kahaa tham kar jo mai se pighal jaaye vo jaam nahii.n hotaa din Duube hai.n yaa Duubii baaraat liye kashtii saahil pe magar ko_ii koharaam nahiin hotaa

aag puurii kahaa.N bujhii hai abhii

aag puurii kahaa.N bujhii hai abhii diidaa-e-tar me.n tishnagii hai abhii [diidaa-e-tar = wet eyes/eyes filled with tears] [tishnagii = thirst] dosto.n se chukaa rahaa huu.N hisaab dushmano.n se kahaa.N Thanii hai abhii dost kah kar mujhe na de gaalii dil pe ik zaKhm-e-dostii hai abhii kaaT de ye bhii Khud_parastii me.n aur tho.Dii sii zindagii hai abhii [Khud_parastii = egoistic] jaane kyo.n kund ho gayaa nashtar zaKhm kii dhaar to vahii hai abhii [kund = blunt/ineffectual; nashtar = knife]

aag ho to jalane me.n der kitanii lagatii hai

aag ho to jalane me.n der kitanii lagatii hai barf ke pighalane me.n der kitanii lagatii hai chaahe ko_ii ruk jaaye chaahe ko_ii rah jaaye qaafilo.n ko chalane me.n der kitanii lagatii hai chaahe ko_ii jaisaa bhii ham-safar ho sadiyo.n se raastaa badalane me.n der kitanii lagatii hai mom kaa badan lekar dhuup me.n nikal aanaa aur phir pighalane me.n der kitanii lagatii hai soch kii zamiino.n me.n raaste judaa ho.n to duur jaa nikalane me.n der kitanii lagatii hai

aadamii aadamii se milataa hai

aadamii aadamii se milataa hai dil magar kam kisii se milataa hai bhuul jaataa huu.N mai.n sitam us ke vo kuchh is saadagii se milataa hai aaj kyaa baat hai ke phuulo.n kaa rang terii ha.Nsii se milataa hai mil ke bhii jo kabhii nahii.n milataa TuuT kar dil usii se milataa hai kaar-o-baar-e-jahaa.N sa.Nvarate hai.n hosh jab beKhudii se milataa hai

aa ke patthar to mere sahan me.n do-chaar gire

aa ke patthar to mere sahan me.n do-chaar gire jitane us pe.D ke phal the pas-e-diivaar gire [sahan = courtyard; pas-e-diivaar = other side of the wall] mujhe giranaa hai to apane hii qadamo.n me.n giruu.N jis tarah saayaa-e-diivaar pe diivaar gire [saayaa-e-diivaar = wall's shadow] tiiragii chho.D gaye dil me.n ujaale ke Khutuut ye sitaare mere ghar TuuT ke bekaar gire [tiiragii = darkness; Khutuut = letters] dekh kar apane dar-o-baam laraz uThataa huu.N mere ham_saaye me.n jab bhii ko_ii diivaar gire [dar-o-baam = walls and roofs; laraz = tremble] [ham_saaye = neighbourhood] vaqt kii Dor Khudaa jaane kahaa.N se TuuTe kis gha.Dii sar pe ye laTakii hu_ii talvaar gire [Dor = string] ham se Takaraa ga_ii Khud ba.Dh ke andhere kii chaTTaan ham sambhal_kar jo bahut chalate the naachaar gire kyaa kahuu.N diidaa-e-tar ye to meraa cheharaa hai sang kaT jaate hai.n baarish kii jahaa.N dhaar gire [diidaa-e-tar = tear filled eyes; sang = stone] dekhate kyaa ho 'Shakeb' itanii buland

aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai

aa chaa.Ndanii bhii merii tarah jaag rahii hai palako.n pe sitaaro.n ko liye raat kha.Dii hai ye baat ki suurat ke bhale dil ke bure ho.n allaah kare jhuuTh ho bahuto.n se suunii hai vo maathe kaa matalaa ho ki ho.nTho.n ke do misare bachapan kii Gazal hii merii mahabuub rahii hai Gazalo.n ne vahii.n zulfo.n ke phailaa diye saaye jin raaho.n pe dekhaa hai bahut dhuup ka.Dii hai ham dillii bhii ho aaye hai.n laahaur bhii ghume ai yaar magar terii galii terii galii hai

Agar YaQeen Nahi Aata To Aazmaye Mujhe,

Agar YaQeen Nahi Aata To Aazmaye Mujhe, Wo Aayina Hai To Phir Aayina Dikhaye Mujhe, Azab Chirag Hoon Din Raat Jalta Rehta Hoon, Main Thak Gaya Hoon Hawa Se Kaho Bujhaye Mujhe, Main Jiski Aankh Ka Aansu Tha Usne Kadar Na Ki, Bikhar Gaya Hoon To Ab Ret Se Uthaye Mujhe, Bahut Dino Se Main In Pattharon Mein Patthar Hoon, Koi To Aaye Zara Der Ko Rulaye Mujhe, Main Chahta Hoon Ke Tum Hi Mujhe Izzat Do, Tumhari Tarahse Koi Gale Lagaye Mujhe...

ankhen churaio na tuk abr-e-bahar se

ankhen churaio na tuk abr-e-bahar se meri taraf bhi didah-e-khunbar dekhna ae ham-safar na able ko pahunche chashm-e-tar laga hai mere paon mein a kar dekhna hona na char chashm dik uss zulm-paishah se hoshiyar zinhar khabardar dekhna sayad dil hai dag-e-judai se rashk-e-bag tujh ko bhi ho nasib ye gulzar dekhna gar zamzama yahi hai koi din to hamsafar is fasl hi mein ham ko giraftar dekhna bul-bul hamare gul pe na gustakh kar nazar ho jayega gale ka kahin har dekhna shayad hamari khak se kuch ho bhi ae nasim girbal kar ke kucha-e-dildar dekhna us khush-nigah ke ishq se parhez kijio 'Mir' jata hai leke ji hi ye azar dekhna

hazaaron dukh perayen sehna muhabbat mar nahi sakti

hazaaron dukh perayen sehna muhabbat mar nahi sakti hai tum say bus yahi kehna muhabbat mar nahi sakti tera her baar merey khat ko perhna aur ro dena mera her baar likh dena muhabbat mar nahi sakti kia tha hum ney campus ki nadi per ik haseen wa'ada bhaley hum ko peray merna muhabbat mar nahi sakti jahan main jab talak panchi chahaktey, urtey, phirtey hain hai jab tak phool ka khilna muhabbat mar nahi sakti puraney ahad ko jab zinda kernay ka khayal aaye mujhay bus itna likh dena muhabbat mar nahi sakti wph tera hijr ki shab phone rakhney say zara pehley bohat rotey huye kehna muhabbat mar nahi sakti ager hum hasraton ki qaber main hi dafan ho jayen to yeh katbon peh likh dena muhabbat mar nahi sakti puraney rabton ko phir naye wa'adey ki khuahish hai zara ik baar to kehna muhabbat mar nahi sakti gaye lamhaat fursat kay kahan say dhoond ker laaon woh pehron haath per likhna muhabbat mar nahi sakti

Kahaa uss nay roko ab tum

Kahaa uss nay roko ab tum Bohot mil kar chalay ham tom Bohot kuch paa liyaa ham nay Bohot kuch k'ho liyaa ham nay Hamai(n) ab lautnaa ho gaa Bohot ziddi ho tom laikin Hamain ab to bich'harnaa hai Sonaa ye to, bohot royay Kahaa(n) tak jayai(n) gay tanhaa Hamai(n) ye soch kar jaanaa(n) Bohot takleef hotee hai Chalo ham maan laitay hai(n) Tomhai(n) ham k'ho chokay laikin Hamaari saans ab tak bhee Tomhaari pyaas rak'htee hai Tomhaari yaad ab tak bhee Hamai(n) baitaab rak'htee hai Magar ! ab ye bhee sontay hai(n) Tomhaari raah roshan hai Tomhai(n) mil jaayay gaa koyee Magar afsos !!! Ham jaisaa Agar paao kahee(n) tom to Mojhay do harf lik'h dainaa

Guftugo Ke Lamhon Main

Guftugo Ke Lamhon Main Dekh He Nahi Paatay Ham Tumharay Chehray Ko Tum Hamari Aankhon Ko Aaj Aisa Kartay Hain Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain Baat Chor Datay Hain Jaane Kiya Lamha Hoga Jab Ye Hath Hathon Say Gar Kabhi Juda Hoga Aaj Aisa Kartay Hain Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain Hath Chor Datay Hain Kash Koi Samjha Day Loag Kis Tarah Dil Ki Manzilain Alag Kar Kay Saath Chor Datay Hain Aaj Aisa Kartay Hain Bey-sabab Bikhartay Hain Zaat Taur Datay Hain

Jo na mil sakay wohi bewafa, yeh barri ajeeb si baat hai

Jo na mil sakay wohi bewafa, yeh barri ajeeb si baat hai Jo chala giya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai Jo kisi nazar se adaa hui, wohi roshni hai khayaal mein Woh na aa sakey rahon muntazir, yeh khalish kahan thi wisaal mein Meri justaju ko khabar nahin, na woh din rahe na woh raat hai Jo chala giya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai Kare pyar aur lab pe gila na ho, yeh kisi kisi ka naseeb hai Yeh karam hai uska jafaa nahin, woh juda bhi reh ke kareeb hai Wohi aankh hai mere ru-ba-ru, ussi haath mein mera haath hai Jo chala giya mujhe chor kar wohi aaj tak mere saath hai Mera naam tak jo na le saka, jo mujhe qaraar na de saka Jissey ikhtiyaar to tha magar, mujhe apna pyar na de saka Wohi shaks mairi talaash hai, wohi dard mairi hayyaat hai Jo chala giya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai Jo na mil sakey wohi bewafa, yeh bari ajeeb si baat hai Jo chala giya mujhe chor kar, wohi aaj tak mere saath hai

Abhi Zid Na Kar...

Abhi Zid Na Kar... Abhi zid na kar dil -e- be khabar! ke pas -e- hajoom -e- sitam garaan abhi kon tujh se wafa kare abhi kis ko fursatein hein iss qadar ke samait kar teri kirchiyaan tere haq main khud se dua kare abhi zid na kar dil -e- be khabar ke tah -e- ghubaar -e- gham -e- jahaan kahan kho gaye tere chaara gar ke raah -e- hayaat main rayegaan kahan so gaye tere hamsafar abhi gham gusaaron ki chott seh abhi kuch na sun abhi kuch na keh abhi zid na kar mere be nawaa kabhi yun bhi ho ke sarr -e- ufaq tere dukh ka chaand damak utthay koi tees khud se chamak utthay kisi sheher -e- zakhm -e- farosh main koi zakhm khud se khareed kar sabhi aks khud se khurach kabhi kisi aayeine par na deed kar kabhi yun bhi jashn -e- tarab manaa kabhi iss tarah se bhi eid kar.

jo tum nay thaan hi li hai

jo tum nay thaan hi li hai humaray dil se niklo gay too itna jaan lo piyaray samandar samnay ho ga ager sahil se niklo gay sitaray jin ki aankhon nay humain ik sath dekha tha gawahi denay aain gay puranay kagzoon ki balkooni se bohat se lafz jhankain gay tumhain wapis bulain gay kai waday, fasadi qarz khawahoon ki tarah tumhain rastay main rookain gay tumhain daman se pakrain gay tumhari jaan khain gay chupa ker kis tarah chera bhari mehfil se niklo gay zara phir soch lo janan nikal too jao gay shayad magar mushkil se niklo gay

bara dushwaar hota hai

bara dushwaar hota hai zara sa faisla kerna ke jevan ki kahani ko beyan-e-bayzubani ko kahan se yaad rakhna hia kahan se bhool jana hai usay kitna batana hai us say kitna chupana hai kahan roo roo ke hansna hai kahan hans hans ke roona hai us aanchal ke kisi koonay ko kitna sa bhagoona hia kahan aawaz deni hai kahan khamosh rehna hai kisi dukh ko kahan per koon se shidat se sehna hai kahan rasta badalna hia kahan se loot aana hai zara sa faisla kerna bara dushwar hota hai

bicharnay se zara pehle

bicharnay se zara pehle tumhain bhi sooch lena chahiye tha tumhain bhi sooch lena chahiye tha ke yoon chahat ko thukraya nahi kertay ke yoon beetay dinoon ko bhoolna acha nahi hota ke yoon anjaan ban ker chain se jeena humaray wastay mumkin nahi ho ga tumhain bhi sooch lena chahiye tha ke wo batain jo hum aik dosray se ker chukay hain ab kabhi wapis na aain gi ke wo lamhay jo hum ik dosray main jee chukay hain phir kabhi zinda nahi hoon gay bicharnay se zara pehle tumhain bhi sooch lena chahiye tha

Aik Rah Per Sari Umer Chaley

Aik Rah Per Sari Umer Chaley Ek Dojey Ko Na Samjh Sakey Jeevan Ka Safer Anjaan Safer Bay_Khahish Bay_Araam Safer Jevan K Kissi Bhi Dukh Sukh Main Woh Meray Saath Shareek Nahin Hum Dono Main Ek Rishta Hai Per Jazboon Ki Tehreek Nahin Jari Hai, Mager Anjaan Safer Main Sochta Hoon Aik Din Yunhi Woh Mujh Sey Juda Ho Jayegi Ya Pehlay Main Mar Jaon Ga Ya Shaid Woh Mar Jayegi Phir Loug Kahin Gay Inka Yeh Rishta Kitna Sacha Tha Per Kiss Ko Khaber, Sara Jeevan Woh Tanha Thi... Main Tanha Tha...

Kis Tarhaan Sajaatay Ho

Kis Tarhaan Sajaatay Ho Maslehat Ki Shaamon Main Mehfilain Muhabat Ki Aur Mohabatain Bhi Wo Saal Bhar Mehak JinKi Dil Ki Saari Galiyoon Main Raqs Karti Phirti Hain Kis Tarhaan Sajaatay Ho Andhion Kay Mausam Main Tum Deeyay Rafaqat Kay TumJo Payaar Ki Dolat Apnay Dil Kay Haatoon Say KhushBoowon Ki Baaton Say IsTarhaan Lutaatay Ho JisTarhaan Koi Jugnoo Shab Kay RaigZaaroon Par Roshni Lutaata Hai TumJo Habs Mausam Main Ik Hawaa Ka Jhonka Ho Kis Taraah Sajaatay Ho Maslehat Ki Shaamoon Main Mehfilain Muhabat Ki Kuchh Humain Bhi Batlaao Kuchh Humain Bhi Sikhlao Hum To Apnay Sehraa Kay Be-Nawaa Musaafir Hain Hum Tumhaaray Jazboon Ki Naik Si Fizaaoon Main Phool Jaisay Geetoon Ki Raqs Karti Khushboo Kay Be-Qaraar Shaayar Hain

Muhabat Main

Muhabat Main Agarchay Dil ki Aankhain Mudaton Palkain Jhapakna Bhool Jaati Hain Magar In RatJagon Kay Surkh Doray NeelGoon SunoLahatain Aur RaabBaroaon Ki Raazdari Bhi Ajab Aik Husn Paida Karti Jaati Hai Muhabat Main Agarchay Dharkanain Apna CHalan Tak Chhor Jaati Hain Magar Aisi Dharkanoon Ki Thaap Aur SarGaram Tarasta hai Muhabat Main Agarchay Be-Kali Dil Ko Bohat Tarpaayay Rakhti Hai Magar Dil Ki Tarap Hi Zindagi Ko Patharon Ki Zindagi Say Mukhtalif Karti Hai Dunia Main Muhabad Main Agarchay Aankh Say Ojhal Hoi Lagti Hai Dunia Kay Siwa Laikin Basirat Ki Kayee Beenaeeyaan Aur Kharkiaan Khulti Chali Jaati Hai Batin Main Muhabat Main Agarchay Aansuon Ko Surkh Hotay Pal Nahi Lagta Magar Yai Surkhiyan Kitnay Gulistan,Chand,Taray aur Zamin-O- Aasmaan Rangteen Karti Hain Muhabat Main Judaayee Dhoop Kay Angan Main Palti Hai Agarchay Phir BHi Saari Umr Khoaabon AUr Duaon Say Kabhi Thhandak Nahi Jaati Mujhay Maaloom Hai Tum To Muhabbat KI

qasam to khaa li hai tum nain

qasam to khaa li hai tum nain mujhay kabhi bhee na yaad kernay ki magar main janta hoon tum mujhay kabhi na bhula sako gi din bher hanstay khailtay main shaid meri yaad na aye tumhain magar sunooooon!!!!!!!!!!!! subha jub aaankh khulay tumhari to takye per phailay huway apnay kajol ko chupaa liya kerna keh koi jaan na sakkay tum raat dare tuk roti rehi hoo meri yaad main!

Azal se hai Mohabbat ma~wara lafzon ki maala si

Azal se hai Mohabbat ma~wara lafzon ki maala si Magar ye bhi haqeeqat hai Mohabbat soch ki aakash per baadal ki suurat mein, sada perwaaz kerti hai Kabhi baaris ki bondon mein simat ke dil ki dharti per Uutarti hai bikharti hai Adda le ker sabba se ye, Gulabon se mehak le ker. Dhanak se rang le ker aur sitaaron se chamak le ker Hansee~N aanchal sajaati hai... Issi aanchal se phir khawabon ke kach~e ghar sajati hai Mohabbat aazmati hai Kabhi ye shair ban ker lafz ki harmat barhati hai Kabhi ye saaz ban ker dheere dheere guungunati hai Seraapa aankh ban jaati hai ye Mehboob ko paa ker Anokha lamss ban jaati hai Koy~e yaar mein jaa ker Naajane kaun sa Mantar ye perh ker hol~e hol~e se Kissi ki band aankhon mein binna dastak diye yekdam Uutar ker ghar banati hai....Mohabbat Muskurati hai ye khuushbu hai hamaisha phuulon ki saanson mein hoti hai Bana de chaand neera shab ko jo ye aisa mauti hai Kassak hai Daai~mi iss mein bohat be-naam lazat hai M

pagal aankhon wali lakrki

pagal aankhon wali lakrki itnay mehngay khawab na dekho thak jao gi kanch se nazuk khawab tumharay toot gay too pachtao gi soch ka sara ujla kundan zabt ki rah main ghul jaye ga tum kia jano khawab safar ki dhoop ke sheshay khawab adhori raat ka dozakh khawaboon ka hasil tanhai khawaboon ki manzil ruswai khawab khialon ka pachtawa tum kia jano mehngay khawab khareedna ho too aankhain baichni perti hain

kisi larki se mat kehna

kisi larki se mat kehna k uss se pyar kertay hoo agar baydihaani main ye iqrar ker baithay kisi se pyaar ker baithay tu waadoon ki dor main ulhaj ker toot jaaogay tumharay pyaar ka iss ko agar ehsas hu jaiy tu ho sakta hai tum uss ka rang roop ban jaao mohubbat k safar main shayd aisa mor aajaiy k tum narazgi ka bermala izhaar ker baithoo koi inkaar ker baithoo tu ye sumjho,koi sheesha ,koi dil toot jaiy ga k inn k dil boht nuzuk ,boht kamzor hotay hain kisi Larki k dil ka tootna bhi mot hoti hai Kisi larki se mat kehna

Farz karo hum jena chahain aur jenna baikar sa hoo

Farz karo hum jena chahain aur jenna baikar sa hoo Farz karo ke maar jana bhi apnay liye dushwaar sa hoo Farz karo ke us ki batain dil ko dukhanain wali hoon Farz karo ke us ka lehja lakri ki talwaar sa hoo Farz karo hum rootay rootay so jatay hoon sham dhalay Farz karo ye roona dhoona aankhon ko darkaar sa hoo Fraz karo us nay hum ko huns huns ker nashad kia Farz karo hans hans ker milna us ka karoobar sa hoo Farz karo ke baithay baithay hum ye soch rahay hoon KAIS chahay aik shajar ho gher main lakin saya daar sa hoo

tum mut jao

tum mut jao dekho tumhari khatir main sitaray ginana seekh raha hoon mizaroon per tumharay naam ke diye jalanay abhi shuru kiye hain abhi too meri aankhon ne sapnay bunana shuru kiye hain tumhari qasam faqat tumharay liye apni sari aadatain badal chuka hoon tooti phooti nazmain likhna ghazlain sunana shairy perhna sab choor chuka hoon meethay sur ke naghmay sunana hunstay rehna kamray ki her cheez terteeb se rakhnay laga hoon tumharay liye aur najanay kitna kuch badal chuka hoon Khuda ke liye is tarah maat jao sunoo.. main tumhari khatir jee too raha hoon shayad tumhari khatir maar bhi jaon

Kaha har lafz jhoota hay sabhi qissa fasana hay

Kaha har lafz jhoota hay sabhi qissa fasana hay Jawab aaia magar ik lafz ka sach to purana hay Kaha bholay hoon ko yad bhi karta nahi koi Jawab aaia yeh bhi to mohabat ka ik bahana hay Kaha rastton mein ankhin chornay ka faida kia hay Jawab aaia rastoon mein kissi ka aana jana hay Kaha bujhtay deuon pay raat aanay ka sabab kia hay jawab aaia hamin abb raat nay rasta dekhana hay Kaha ankhon ko khali kar gia hay nend say koi Jawab aaia saza mein uss nay khud ko bhi jalana hay Kaha agar rastay baton ki sorat kattay hoay Jawab aaia hamin abb ik nia rasta bana hay Kaha ab kon iss dill ki nighbani mein rehta hay Jawab aaia ussi ik chap ko wapas bullana hay Kaha jo bhool jatay hein who bass phir bhool jatay hein Jawab aaia ussi ik shakhs ko to yad aana hay

Ye husn teraa ye ishq meraa

Ye husn teraa ye ishq meraa Rangeen too hai badnaam sahi Mujh phar too kayi ilzaam lage Tujh phar bhi koi ilzaam sahi Iss raat ki nikhri rangat ko Kuch aur nikhar jaane de zara Nazron ko bahak jaane de zara Zulfon ko bikhar jaane de zara Kuch der ki hi taskeen sahi Kuch der ka hi aaraam sahi Jazbaat ki kaliyaaN chun naa hai Aur pyar kaa tohfaa denaa hai Logon ki nigahen kuch bhi kahen Logon se hamen kya lenaa hai Ye khaas ta'aaluq apas ka Duniya ki nazar main aam sahi Rusvaii ke dar se ghabra kar Ham tark-e-wafa kab karate hain Jis dil ko basa lain pahluu main Us dil ko juda kab karte hain Jo hashr hua hai laakhon kaa Apnaa bhi vahi anjaam sahi Ye husn tera ye ishq meraa Rangeen too hai badnaam sahi Mujh phar too kayi ilzaam lage Tujh phar bhi koi ilzaam sahi

Dill chahey woh koi baat karey

Dill chahey woh koi baat karey jab dill kay taar tootey hon jab saarey mujh say roothey hon jab aankhain meri beeghi hon dill chahey woh koi baat karey jab mosm-e-bahaar aa jaey jab phoolon pay khumaar chaa jaey jab merey dill main aag lagey uss aag ko woh gulzaar karey dill chahey woh koi baat karey jab saaaki dushman ho jaey jab jeena mushkil ho jaey jab log sang uthaey hon jabsang kii woh barsaat karain dill chahey woh koi baat karey woh kahey,meraa dil pay nahi hai zor koi merey dill main nahi hai aor koi woh kahey basss main teriii hoon basss itni seee baat karey dill chahey woh koi baat karey

Mohabaton main hawas k aseer ham bhi nahi

Mohabaton main hawas k aseer ham bhi nahi Galat na jan k itnay haqeer ham bhi nahi Nahen ho tum bhi qayamat ki tand-o-tez hawa Kisi k naqsh-e-qadam ki lakeer ham bhi nahi Hamari doobti nabzon se zindagi to na mang Sakhi to hain mager itnay ameer ham bhi nahi Hamain bujha de’ hamari ana ko katal na kar K bezarer sahi ‘mohsin’ be zameer ham bhi nahi

shab -e-tanhaee

shab -e-tanhaee wo jo baray sukh main hay usay kehna keh raat ka pichla pehr hay aur abhi hum jagtay hain hamari ankhon say neend kosoo'n door hay hamaray lab abhi tak is k naghmay gungunatay hain hamara zehan ab bhi us ki batain sochta hay tau kabhi hum hans detay hain kabhi jee bhar k rotay hain shab-e-tanhaee ki yakh basta hawao.. ! usay kehna hum ab bhi ba wazo ho ker tumhara naam laitay hain usay kehna, ya apna naqsh dho jay ya phir say apna ho jay .. !

Unn Jheel See Gahree Ankhoon Mian Ik Sham Kaheen Abad Too Hoo

Unn Jheel See Gahree Ankhoon Mian Ik Sham Kaheen Abad Too Hoo Uss Jheel Kinaray Pal Do Pal Ik Khawab Ka Neela Phool Khilay! Woh Phool Baha Dain Lehroon Main Ik Rooz Kabhi Hum Sham Dhalay Uss Phool Kay Behtay Rangoon Main Jiss Waqt Larzta Chand Chalay Uss Waqt Kaheen Unn Ankhoon Main Uss Bisray Pal Key Yaad Too Hoo Unn Jheel See Gahree Ankhoon Main Ik Sham Kaheen Abad Too Hoo Phir Chahay Umer Samandar Key Her Moj Pareeshan Hoo Jaiy Phir Chahay Ankh Dareechay Say Her Khawab Gureezaan Hoo Jaiy Phir Chahay Phool Kay Chahray Ka Her Dard Numayaan Hoo Jaiy Uss Jheel Kinaray Pal Do Pal Woh Roop Nagar Ejaad Too Hoo Din Raat Kay Iss Aainay Say Woh Aks Kaheen Azad Too Hoo Unn Jheel See Gahree Ankhoon Main Ik Shaam Kaheen Abad Too Hoo

usay rooktay bhi too kis liye?

usay rooktay bhi too kis liye? wo jo sher-e-dil tha ujar gia wo jo khawab tha wo bikhar gia kabhi moosmoon ki nazar lagi kabhi wahamoon nay dara dia kabhi manziloon ke sarab nay kabhi zindgi ki kitab se humain jis nay chaha mita dia bas isi liye wo jo ja raha tha dour tak usay dekhtay hi rahay magar nahi di sada..... usay rooktay bhi too kis liye?

Kisi ko alwida kahna

Kisi ko alwida kahna buhat takleef daita hai umeedein toot jaati hain yaqeen pe beyaqeeni ka kehar kuch aisa charhta hai dekhai kuch nahi daita sujhai kuch nahi daita dua k lafz hontoon pe musalsal kapkapatein hain kisi kuwahish k andaishay zehan main doorh jatay hain guman kuch aisay hota hai k jaisay mil na paain gay ye gahray zakhm furqat k kisi se cil na paain gay kabhi aisa bhi ho ya rab duain maan laita hai tu koi mojza karday tu aisa kar bhi sakta hai meray haathon ki janib dekh inhay tu bhar bhi sakta hai judai ki ye teekhi taar dilon ka khoon karti hai judai ki azeeyat se mera dil abb bhi darta hai judai do ghari ki ho tu koi dil ko samjhai judai chaar pal ki ho tu koi dil ko bahlai judai umer bhar ki ho tu kya chara karay koi k aik milnay ki hasrat main bhala kub tak jeya koi meray moola karam karday tu aisa kar bhi sakta hai meray haathon ki janib dekh inhay tu bhar bhi sakta hai

us sunder see muskan k peechey

us sunder see muskan k peechey kuch tootey tootey sapnay they kuch roothey roothey apney they kuch khawab they jo k toot chukey they kuch man they jo k rooth chukey they us sunder see muskan k peechey Raz jo dil mein gahra tha us pay hansee ka pahra tha qahqahoon k kuch qufal bhee they Adhey jin mein toot chukey they man they jo k rooth chukey they us sunder see muskan k peechey sahtey sahtey beh jatein thein do ankhein sab kuch keh jatee thein yadoon kee pur nam zameen per gulab they jo k sookh chukey they man they jo k rooth chukey they us sunder see muskan k peechey apna koi ameen nahin tha ghairoon pay bhee yaqeen nahin tha hud gharzee ka woh gila kia kertee sath they jo k loot chukey they man they jo k rooth chukey they us sunder see muskan k peechey woh dasht kee gahree daldal thee aur dunoiya shoh-o- chanchal thee rait kee moj mein dhanstey dhanstey hath they jo k chhot chukey they man they jo k rooth chukey they us sun