Skip to main content

Yeh din to katt he jata hai

Yeh din to katt he jata hai
talash-e-rukht me lekin
samandar shaam hoti hai
to main ghabra sa jata hon
shajar gum sum say hotay hain
hawa bhi tham si jati hai
wo kaali raat k sayay
tumhari yaad dilatay hain
bara numnaak hota hai
tumhari yaad ka mausum
badan bhi toot jata hai
buhat si karwatain lay kar
to bistar thak sa jata hai
buhat si salwatain lay kar
tarasta kiss tarah say hai
dil-e-baitaab kia likhoon
phir kaisay dil jalatay hain
sulagtay khwabb kia likhoon
main shayir hoon magar jana
sabhi kuch likh nahi paataa
phir aksar aisa karta hoon
tumhara dard, tumhara ghum
saray karb k lamhay
main apnay naam karta hoon
mujhay adat si hai
apnay watan say dour rehnay ki
yeh saray karb sehnay ki
tumhain to choo bhi na payay
yeh saray dard k sayay
dua yeh lab pe ati hai
tumharay naam hoti hai
SAMANDAR SHAAM HOTI HAI
SAMANDAR SHAAM HOTI HAI~!!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng