Skip to main content

aag puurii kahaa.N bujhii hai abhii

aag puurii kahaa.N bujhii hai abhii
diidaa-e-tar me.n tishnagii hai abhii

[diidaa-e-tar = wet eyes/eyes filled with tears]
[tishnagii = thirst]

dosto.n se chukaa rahaa huu.N hisaab
dushmano.n se kahaa.N Thanii hai abhii

dost kah kar mujhe na de gaalii
dil pe ik zaKhm-e-dostii hai abhii

kaaT de ye bhii Khud_parastii me.n
aur tho.Dii sii zindagii hai abhii

[Khud_parastii = egoistic]

jaane kyo.n kund ho gayaa nashtar
zaKhm kii dhaar to vahii hai abhii

[kund = blunt/ineffectual; nashtar = knife]

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.