Skip to main content

Subah k ujalo.n mei jab bhi Aankh khulti hai

Subah k ujalo.n mei jab bhi Aankh khulti hai
Main tere Khayalon se
Aetraaz karne ka Ahed kar ke ut tha hoon
Yunhi be-Khiyali mein
Jab Saeed ka koi Shair Gungunata hoon
Rooh Jag utth.ti hai Dil Sakoon pata hai
Lekin os ke Shairon par jab bhi Ghaur karta hoon
Mujh ko Eisa lagta hai
Wo Sitam Gazeeda bhi Apni Sari Ghazlon mein
Tera Zikr karta hai
Main Tere Khiyalon se Sar Jatak ke utth.ta hoon
Taiz Taiz Qadmon se Shehar ko nikhalta hoon
Pur hajoom Galiun mein har jaga Dukano.n par
Be-Qaraar Phirta hoon Tujh ko bhool jata hoon
be-Niaz Lamhon mein
jab Koi Pari pekar Paass se Guzarti hai
Mera Dil machalta hai Zor se dharakta hai
Aur Wo pari pekar Tera Aks lagti hai
Phir Wohi Teri Yadein.....Phir Shikast khata hoon
Aur main teri yadon se Door bhag jane ko
Sabz Posh Baghon mein Sair ko nikhalta hoon
Sabz Chader par Sar jhukaey chalta hoon
be-Shumaar pholon ke Rang aur khoshbu se
Dil Zara behalta hai
Phir kahein Darakhton ke Pursakoon Saaye mein
Piyaar karne Walon ko
Pur Khumaar lehjay mein Hum-kalaam pata hoon
Phir Teri Qurbat mein Kat chuky Haseen Lamhe
Mujh ko yaad Atay hai , Phir Shikast hoti hai
Aur Main Thaka hara Ghar ko Laut Ata hoon
Shaam ke Andhere jab Shab-Taraaz hotay hai
Aur Mera Akhela Pan Soone Soone Bistar par
Phir se Teri yadon ki Chadarein bichata hai
Tab mere Iraday bhi Haar maan letay hai
Main Tere khiyalon ko Odhna bana ta hoon...!!!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng