lamha lamha behti yeh zindagi,
na janay kis taraf ja rahi hai,
pal pal mujh say keh rahi hai,
aao mere saath chalo mere hamsafar,
lakin mere qadmon main kaise zanjeerain hain,
jo mujhay janay say rookti hain,
anjaan say rishton main mujhay baandhti hain,
kuch rishtay jo mujhay mere apno nay diye hain,
kuch rishtay jo is dil say vabasta hain,
har rishtay ki apni talab hai taqaza hai,
batta hua mera wajood aadha aadha hai,
main kaise insaaf karu inkay saath,
har koi apna haq mangta hai,
kam nahi bohat ziyada mangta hai,
ek rishta jo mera tujh say hai,
wo khamosh hai mujh say kuch nahi mangta,
khud jal kay mujhay sakoon deta hai,
mere saath sanso ki tarha rawa'n hai,
mujh say har waqt yahi kehta hai,
mujhay tumsay kuch nahin chhahiye,
bass mujhay yu'n hee qayam rakhna,
meri garmi ko thandi mat parnay dena,
apnay ehsas say mujhay zinda rakhna,
tamaam rishton ko main nibha raha hoon,
sabko sabka haq de raha hoon,
pal pal jee raha hoon mar raha hoon,
sab kay saath insaaf kar raha hoon,
lakin jo rishta tera mera hai,
wo rishta khamosh hai......wo rishta khamosh hai......