Zindagi hum teri dehleez pe aa baithey haiN
hath meiN kasa-e-tadbeer he, aankhooN meiN ki mousm-e-gulrang ki khwahish he
labooN pe tery bemuhar zamanooN key liye shikwey haiN
zindagi hum teri dehleez pe aa baithey haiN
ik zara dekh keh hum narm-mizajooN key liye
koonsi raat he, jis raat key aanchal meiN hawa
khwaab ko aaina-e-khwaab meiN sar karti he
koonsa din he keh jis din ka zahoor
harf-e-dil key liye sehra-e-tamanna ka safar karta he
ik tery lams ki khatir hum ney
khaima-e-dil meiN jalaye tery honey key charagh
haaN magar koyi suraagh
teri aahat, teri aawaz, teri qad-o-qamat-o-khushboo ka suraagh
jaaNbelab haiN ....magar ik harf-e-tassali key liye
zindagi, hum teri dehleez pe aa baithey
hath meiN kasa-e-tadbeer liye
Zindagi hum teri dehleez pe aa baithey....