Mein jab bhi
zindagi ki chilchilaati dhoop mein tap kar....
Mein jab bhi
doosron ke aur apney jhooth se thak kar...
mein sabse lad ke, khud se haar ke,
jab bhi us ek kamrey mein jaata tha...
Woh halke aur gehrey kathaii rangon ka kamra,
woh behadd meharbaan kamra...
jo apni narm muthii mein mujhe aise chupa leta tha
jaise koii maa...
bachhe ko aanchal mein chupa le
pyaar se daantey...
yeh kya aadat hai
jaltii dopahar mein maare maare ghoomtey ho tum
Woh kamraa yaad aata hai...
Dabeez aur khaasa bhaari
kuch zara mushkil se khulney waala
woh sheesham ka darwaazaa
ki jaise koii akhad baap
apney khurdurey seene mein
shafkat ke samader ko chupaaye ho....
Woh kursii
aur uskey saath woh judwaan behan uskii
woh dono dost thi merii
woh ek gustaakh muhfat aaiina
jo dil ka achha tha
woh behangam si almaari
jo koney mein khadi
ek boodhii annaa ki tarah
aaiiney ko tanveeh karti thi
woh ek guldaan
nanha sa
bahut shaitaan
un dono pe hansta tha
Dareecha, ya zahaanat se bhari ek muskuraahat
aur dareechey per jhukii woh bel
koii sabz sagoshii
Kitaabein,
Taaq mein aur shelf per
sanjeeda ustaani bani baithi
magar sab muntazir is baat ki
mein unsey kuch poochun
sirhaaney neend ka saathi
thakan ka chaaragar
woh naram dil taqiyaa
mein jiski Goad mein sar rakhkar
chat ko dekhta tha
chat ki kadiyon mein
na jaane kitney afsaano ki kadiyaan thi
woh chotii mez per
aur saamney deewar per
aavezaan tasveerein
mujhe apnaaiiyat aur yakeen se dekhtii thi
muskuraati thi
unhey shaq bhi nahi tha
ek din....
mein unko aise choor jaaoonga
mein ek din yuun bhi jaaoonga
ki phir waapas na aaoonga....
Mein ab jis ghar mein rehta huun
bahut hi khoobsurat hai
magar aksar yahaan khaamosh baitha yaad karta huun
Woh kamraa baat karta tha....