Skip to main content

Posts

Showing posts from March, 2013

ishq qatil se bhi

Qatil pe aitbaar kya hai kabhi kabhi

mere-kanon-mai-ek-purkaif-si-awaz-ati hai

Sab Ke Honton Par Tabassum Tha Mere Qatal Ke Baad

ussay kahna

koi to essi baat karo

Ab jo rotho gay....!! Haar jao gay...

din raat jis kaafir but ki parastish ki thi

Hum ko aata hi nahin

Miyan...! Apni Bad'Dua'en apne paas rakho

Mujh sa koi shakhs bhi.

chor diya hum ne

Zindagi yun bhi kaam hai

yeh dunya eik lamhe mein

maloom nahin mere dil ko

Na Jane Iss Zid Ka Natija Kya Hoga !

Na Jane Iss Zid Ka Natija Kya Hoga ! Samjhta Dil Bhi Nahi'Wo Bhi Nahi'Mein Bhi Nahi !!

Tumhari Yaad Bhi Mohsin Kisi Muflis Ki Poonji Hai

Tumhari Yaad Bhi Mohsin Kisi Muflis Ki Poonji Hai Jisey Hum Saath Rakhtay Hain Jisy Hum Roz Gintay Hain

Yeh tum se keh diya kis ne .

Yeh tum se keh diya kis ne . . Ke tum bin reh nahi saktae hum . . Yeh dukh, hum seh nahi saktae . . Chalo, hum maan lete hai . . Ke tum bin, hum buhat roye Ke raaton ko na soye . . Magar, afsos hai jana . . Ki agar ab k tum jo lout k aaoge Humain badla hua paaoge . Buhat mayoos hogey tum . . K agar poochhna chaho ki . Aisa kyon kiya hum ne . . To sunn loo gour se jana Poorani eik aadat se tang aa ker chhor di hum ne Mohabbat chhour di hum ne . . Haan. . . ” mohabbat choour di hum ne… “ ” mohabbat choour di hum ne… “

Chor diya humne uska intzar karna hmesha k liye

Chor diya humne uska intzar karna hmesha k liye Jisko humari nigah ki qadar na ho usey mur mur k kya dekhna......?

Abhi mein dekh ke aaya hoon

Meri Maut ki Hasrat kyun hai,

Manzilein in ko milla karti hein

Hath to woh chura gya lakin

HAr Simt GHam-E-HijHr k tOFaAn HEin

jab tumhari aankh ho

aye naye saal bata

mujhe tum yaad aate ho

Tijorian bharte hein loog

Afsos Na Kar

♥ Afsos Na Kar,, Harkato'n Par Iss Naadaan Dil Ki.♥ ♥Yeh Muhabbat Hai, Ho jati Hai Yuun Hi Be-Wajah. ♥

Teri Yaadon Ki Kashti

Teri Yaadon Ki Kashti US Samandr mein Teharti hai Samreen Jis mIEn Pani Meri AAnkho ka hi Hota hai 

eik justaju mein raat din

Usey Jaadu Aata Hai

Usey Jaadu Aata Hai Ya Kisi Aur Ilm Mein Mahir Hai Woh, Hamare Dil Pe Qabza Karna Kisi Aur Ke Bas Ki Baat Nahin 

tum kahty ho?

teri yaad

Kaha tha na

Tu ne choor diya jisay

Teri talaash mein

Roz Rote Huye Kehti Hai Meri Zindagi Mujhse

Tum Ko Apni Misaal Deta Hoon

Basa kar khud ko meri aankhon mein

Kash Dil ki Awaz me Itna Asar ho Jaye

mujhe se millna hai to

Tark-e-Ulfat Jo Kia Hai To Sanmbhalo Khud Ko

her shakhs nahin hota

Is Zakham k Bharne main Bohat Dair lagti hein

Tum kya jano

Dard ki dil pe hakumat thi

Umar Bhar Hum Yun Hi Galti karte Rahe Ghalib

Usool-e-mohabbat mein tum khud bewafa ho

teri tarha malal mujhay bhi nahi raha

teri tarha malal mujhay bhi nahi raha jaa ab tera khayal mujhay bhi nahi raha tu ne bhi mosmon ki pazeerai chorr di ab shauq e mah e visaal mujhay bhi nahi raha mera jawab kia tha tujhay bhi khabar nahi yaad ab tera sawal mujhay bhi nahi raha jis baat ka khayaal na tu ne kabhi kia us baat ka khiyal mujhay bhi nahi raha tora hai tu ne jab se meray dil ka aaina andaza e jamal mujhay bhi nahi raha

???kuch bhi nahi?

???kuch bhi nahi? Mere paas dard-e-dil ke siwa kuch bhi nahi Rakh sakun in zakhmo pe marham. Aisi dawa ?Kuch bhi nahi? Mujh se na kar phoolon ki umeed. Mere daman mein kaanton ke siwa ?kuch bhi nahi? Na kar shikwa meri tanhai ka kabhi Mere paas gham-e-judai ke siwa ?kuch bhi nahi? Tu rahe hamesha ujaalon mein sanam Meri zindagi mein andhere ke siwa ?kuch bhi nahi? Kyun mai karun tujh se ab wafa ae zalim Tere paas bewafai ke siwa ?kuch bhi nahi? Ab to na aaenge hum teri mehfil mein kabhi Tere paas mere liye ruswai ke siwa ?kuch bhi nahi? Tu ne na jana mere pyar ko kabhi Tere seene mein paththar dil ke siwa ?kuch bhi nahi? Kya cheer ke bataon mai apna dil tujh ko Mere dil mein tere zakhmo ke siwa ?kuch bhi nahi? Ab aur na jala khud ko ae BIPIN us ke liye Wo to bewafa hai uske pyaar mein tujhe hasil. ?Kuch bhi nahi?.?

Mujhe kitne hi barson se agarche janta hay woh

Mujhe kitne hi barson se agarche janta hay woh Yeh kaisa zulam hay k ajnabi gardanta hay woh mere hathon ne jis ko chand jaisa roop bakhsa tha Mujhe tareek lamhon mein kahan pehchanta hay woh? Magar phir bhi usay apna banane k gumaa,n mein hon Mujhe maloom hay k kab kisi ki maanta hay woh Shahara magta hay sirf tanhayi k lamhon mein Muhabat ka taluq kab kisi se bandhta hay woh Main is duniya k har ik jabar ko phir bhool jata hon Jab apne qurab se mere din ko dhanphta hay woh Mera dil chahta hay Uss ko seene se laga lon main rida e ghum ko apni rooh pe jab tanta hay woh Mujhe jab dukh milein tu kis qadar khushiyan manat hay Chalo wasiq kisi terha to mujh ko manta hay woh

Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee,

Tujhe izhar-e-Mohabbat Say Agar Nafrat Thee, Tu Nay HonTon Ko Laraznay Say To Roka Hota Bay Niazi Say Magar Kaanpti Aawaz K Saath Tu Nay Ghabra K Mera Naam Nah Poocha Hota Terey Buss Main Thee Agar Mashal-e-jazbaat Ki Lau Terey Rukhsaar Main Gulzaar Nah BhaRka Hota Youn To Hwin Mujh Say Buss Aa-o-Hawa Ki Batein Apnay tootey Huey Fiqron Ko To Parkha Hota Youn He Bay Wajah He Thaknay Ki Zarurat Kiya Thee Dam-e-Rukhsat Agar Kuch Yaad Nah Aaya Hota Tera Ghammaz Bana jo tera Andaz-e-jurm DiL Nah Sumbhla Tha To Qadmon Ko Sumbhala Hota Apnay badley Meri Tasveer Nazar aa jati Tu Nay Us Waqt Agar Ayena Dekha Hota Hosla Tujh Main Nah Tha Mujh Say juda Honay Ka Warna[black] Kaajal Teri Aankhon Main Nah Phela Hota

Tujhe bhoolne ki koshish mein,

Tujhe bhoolne ki koshish mein, Jab dil ye zid pe aa gaya, Main aankh moond ke baith gaya, Tu khayaal pe phir chaa gayi? Ye dhadkan kahin ruk jaaye naa, Meri nabz Thehr naa jaaye kahin, Tune Waqt kiya mera lamha lamha, Magar maut ko aasaan bana gayi? Meri har daleel ko kiya ansuni, Meri fariyaad bhi to suni nahin, Main Hairaan hu, haa Kuch Pareshaan hu, Aisa Faislaa tu mujhe suna gayi? Mujhe chaand ki kabhi talab na thi, Mujhe suraj ki bhi fikar nahi, Bas aankh kholna hi chahte the ham, Magar Tu roshni hi bujha gayi? Beshak bhoolna tujhe chaha bahut, Hans kar kabhi, ro kar kabhi, De kar ye aansuon ki saugaat mujhe, Tu daaman apna bacha gayi

kya sarokar ab kisi se mujhe

kya sarokar ab kisi se mujhe vasta tha to tha tujhi se mujhe behisi ka bhi ab nahi ehsaas kya hua teri beruKhi se mujhe maut ki aarzu bhi kar dekhu kya ummide thi zindagi se mujhe phir kisi par na aitbaar aaye yu utaro na apne ji se mujhe tera Gham bhi na ho to kya jina kuch tasali hai dard hi se mujhe kar gaye kis qadar tabah dushman, andaaz-e-dosti se mujhe

Paana bahut kuch chahta hoon magar

Paana bahut kuch chahta hoon magar Bas aaj khud ko kahin khone do Karne ko baatein hain bahut magar Bas aaj mujhe chup hone do Jhinjhod diya hai zindagi ne aaj itna Ye toofan shaant to hone do Apne hi jiwan ki raahon mein kaante Apne hi haathon fir bone do Fir se bachpan jeena hai mujhko Koi mere woh toote khilone do Toote hue khwabon ko sametoon to kaise Mujhe naye kuch swapan salone do Pyar to khud se bahut kiya hai Aj khud se nafrat bhi hone do Insaan thashayad, ye kya ban gaya Kuch der iska ehsaas to hone do Sapne dekhne hain fir se mujhe Kuch der ke liye bas sone do Jeena main bhi chahta hoon shayad Aaj magar mujhe rone do?

Ek ajab si betaabi reh gayi uske jaane ke baad

Ek ajab si betaabi reh gayi uske jaane ke baad bheer main bhi tanhaai reh gayi uske jaane ke baad, Bhala bura jaisa bhi kaha us ne phir bhi uski khuaahish reh gayi uske jaane ke baad, Kuch bhi tha mere chehre ki raunaqen thein us se barqarar ab kuch nahi baaqi uske jaane ke baad, Meri dunya mujh main simat kar reh gayi hai hoon mein boht tanha uske jaane ke baad, Zindagi main khushyan jin ki talab mujhe rahi sari umar ab ujar gayi hain sab umangen uske jaane ke baad, Khud se karun shikwa yaa apne naseeb se mein to jaise bikhar gaya hoon uske jaane ke baad, Dhoka kahun ya bewafai ka naam doon mein kuch bhi kar lun ho gaya hoon ruswa boht uske jaane ke baad, Ehad kia tha meine usey bhula doon ga uske jaane ke baad woh aur hi ziada yaad ayi jub kis irada usko bhulane ka uske jaane ke baad. !

Har shaam tumse milne ki adat si ho gayi

Har shaam tumse milne ki adat si ho gayi Phir rafta rafta tumse Mohhabbat si ho gayi Shayed yeh taaza si judai ka tha assar har shakal bus kuch teri surat si ho gayi Ek naam jhilmilane laga dil ke taaq per Ek Yaad jaise Baais-e-Raahat si ho gayi Khud ko sajaa sanwar ke rakhne ka shok tha Phir apne aap se mujhe nafrat si ho gayi Meine kuch beyaan safaayi mein nahin diya Bus chup raha to khud hi wazahat si ho gayi

Koi Ghazal Suna Ker Kya Karna,

Koi Ghazal Suna Ker Kya Karna, Yoon baat barrha Ker Kya Karna….? Tum Mere Thay Tum Mere ho, Duniya Ko bata Kar Kya Kerna…? Tum Ehad Nibhao Chaahat Say, Koi Rasm Nibha Kar Kya Karna…? Tum Khafa bhi Achay Lagtay ho, Phir Tum Ko Mana Kar Kya Karna….? Tere Dar Pe Aa K bethay hain, Ab Ghar bhi Ja Ker Kya Karna..? Din Yaad Se Acha Guzray Ga, Phir Tum Ko bhula Ker Kya Karna….?

tarke taluqat pe roya