Skip to main content

???kuch bhi nahi?


???kuch bhi nahi?
Mere paas dard-e-dil ke siwa kuch bhi nahi
Rakh sakun in zakhmo pe marham.
Aisi dawa ?Kuch bhi nahi?
Mujh se na kar phoolon ki umeed.
Mere daman mein kaanton ke siwa ?kuch bhi nahi?
Na kar shikwa meri tanhai ka kabhi
Mere paas gham-e-judai ke siwa ?kuch bhi nahi?
Tu rahe hamesha ujaalon mein sanam
Meri zindagi mein andhere ke siwa ?kuch bhi nahi?
Kyun mai karun tujh se ab wafa ae zalim
Tere paas bewafai ke siwa ?kuch bhi nahi?
Ab to na aaenge hum teri mehfil mein kabhi
Tere paas mere liye ruswai ke siwa ?kuch bhi nahi?
Tu ne na jana mere pyar ko kabhi
Tere seene mein paththar dil ke siwa ?kuch bhi nahi?
Kya cheer ke bataon mai apna dil tujh ko
Mere dil mein tere zakhmo ke siwa ?kuch bhi nahi?
Ab aur na jala khud ko ae BIPIN us ke liye
Wo to bewafa hai uske pyaar mein tujhe hasil.
?Kuch bhi nahi?.?

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng