Ek ajab si betaabi reh gayi uske jaane ke baad
bheer main bhi tanhaai reh gayi uske jaane ke baad,
Bhala bura jaisa bhi kaha us ne phir bhi
uski khuaahish reh gayi uske jaane ke baad,
Kuch bhi tha mere chehre ki raunaqen thein us se barqarar
ab kuch nahi baaqi uske jaane ke baad,
Meri dunya mujh main simat kar reh gayi hai
hoon mein boht tanha uske jaane ke baad,
Zindagi main khushyan jin ki talab mujhe rahi sari umar
ab ujar gayi hain sab umangen uske jaane ke baad,
Khud se karun shikwa yaa apne naseeb se
mein to jaise bikhar gaya hoon uske jaane ke baad,
Dhoka kahun ya bewafai ka naam doon mein
kuch bhi kar lun ho gaya hoon ruswa boht uske jaane ke baad,
Ehad kia tha meine usey bhula doon ga uske jaane ke baad
woh aur hi ziada yaad ayi jub kis irada usko bhulane ka uske jaane ke baad.!