Skip to main content

Yeh tum se keh diya kis ne .




Yeh tum se keh diya kis ne . .
Ke tum bin reh nahi saktae hum . .
Yeh dukh, hum seh nahi saktae . .
Chalo, hum maan lete hai . .
Ke tum bin, hum buhat roye
Ke raaton ko na soye . .
Magar, afsos hai jana . .
Ki agar ab k tum jo lout k aaoge
Humain badla hua paaoge .
Buhat mayoos hogey tum . .
K agar poochhna chaho ki .
Aisa kyon kiya hum ne . .
To sunn loo gour se jana
Poorani eik aadat se tang aa ker chhor di hum ne
Mohabbat chhour di hum ne . .
Haan. . .

” mohabbat choour di hum ne… “
” mohabbat choour di hum ne… “



Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng