Skip to main content

Koi Ghazal Suna Ker Kya Karna,


Koi Ghazal Suna Ker Kya Karna,
Yoon baat barrha Ker Kya Karna….?

Tum Mere Thay Tum Mere ho,
Duniya Ko bata Kar Kya Kerna…?

Tum Ehad Nibhao Chaahat Say,
Koi Rasm Nibha Kar Kya Karna…?

Tum Khafa bhi Achay Lagtay ho,
Phir Tum Ko Mana Kar Kya Karna….?

Tere Dar Pe Aa K bethay hain,
Ab Ghar bhi Ja Ker Kya Karna..?

Din Yaad Se Acha Guzray Ga,
Phir Tum Ko bhula Ker Kya Karna….?

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng