Mujhe kitne hi barson se agarche janta hay woh
Yeh kaisa zulam hay k ajnabi gardanta hay woh
mere hathon ne jis ko chand jaisa roop bakhsa tha
Mujhe tareek lamhon mein kahan pehchanta hay woh?
Magar phir bhi usay apna banane k gumaa,n mein hon
Mujhe maloom hay k kab kisi ki maanta hay woh
Shahara magta hay sirf tanhayi k lamhon mein
Muhabat ka taluq kab kisi se bandhta hay woh
Main is duniya k har ik jabar ko phir bhool jata hon
Jab apne qurab se mere din ko dhanphta hay woh
Mera dil chahta hay Uss ko seene se laga lon main
rida e ghum ko apni rooh pe jab tanta hay woh
Mujhe jab dukh milein tu kis qadar khushiyan manat hay
Chalo wasiq kisi terha to mujh ko manta hay woh