Skip to main content

teri tarha malal mujhay bhi nahi raha


teri tarha malal mujhay bhi nahi raha
jaa ab tera khayal mujhay bhi nahi raha

tu ne bhi mosmon ki pazeerai chorr di
ab shauq e mah e visaal mujhay bhi nahi raha

mera jawab kia tha tujhay bhi khabar nahi
yaad ab tera sawal mujhay bhi nahi raha

jis baat ka khayaal na tu ne kabhi kia
us baat ka khiyal mujhay bhi nahi raha

tora hai tu ne jab se meray dil ka aaina
andaza e jamal mujhay bhi nahi raha

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng