Skip to main content

Posts

Showing posts from October, 2013

vo kahate hai.n ranjish kii baate.n bhulaa de.n

vo kahate hai.n ranjish kii baate.n bhulaa de.n  muhabbat kare.n Khush rahe.n muskuraa de.n  javaanii ho gar jaavidaanii to yaa rab  terii saadaa duniyaa ko jannat banaa de.n  shab-e-vasl kii beKhudii chhaa rahii hai  kaho to sitaaro.n kii shamae.N bujhaa de.n  tum afsaanaa-e-qais kyaa puuchhate ho  idhar aao ham tum ko lailaa banaa de.n  bahaare.n simaT aaye.N khil jaaye.N kaliyaa.N  jo ham tum chaman me.n kabhii muskuraa de.n  vo aaye.nge aaj ai bahaar-e-muhabbat  sitaaro.n ke bistar me.n kaliyaa.N bichha de.n 

nik_hat-e-zulf se niindo.n ko basaa de aakar

nik_hat-e-zulf se niindo.n ko basaa de aakar  merii jaagii huii raato.n ko sulaa de aakar  [nik_hat-e-zulf=fragnance of the hair]  kis qadar tiiraa-o-taariik hai duniyaa merii  jalvaa-e-husn kii ik shamaa jalaa de aakar  [taariik=dark]  ishq kii chaa.Ndanii raate.n mujhe yaad aatii hai.n  umr-e-raftaa ko merii mujh se milaa de aakar  [umr-e-raftaa=past life]  zauq-e-naadiid me.n lazzat to hai magar naaz nahii.n  aa mere ishq ko maGaruur banaa de aakar  [zauq-e-naadiid=desire for not seeing] [naaz=pride; maGaruur=proud] 

merii shaam-e-Gam ko vo bahalaa rahe hai.n

merii shaam-e-Gam ko vo bahalaa rahe hai.n  likhaa hai ye Khat me.n ki ham aa rahe hai.n  Thahar jaa zaraa aur dard-e-furqat  hamaare tasavvur me.n vo aa rahe hai.n  [dard-e-furqat=sorrow of parting]  Gam-e-aaqabat hai na fikr-e-zamaanaa  piye jaa rahe hai.n jiye jaa rahe hai.n  [aaqabat=life after death]  nahii.n shikavaa-e-tashnagii may akasho.n ko  vo aa.Nkho.n se maiKhaane barasaa rahe hai.n  vo rashk-e-bahaar aanevaalaa hai "Akhtar"  ka.Nval hasarato.n ke khile jaa rahe hai.n

mai.n aarazuu-e-jaa.N likhuu.N yaa jaan-e-aarazuu

mai.n aarazuu-e-jaa.N likhuu.N yaa jaan-e-aarazuu  tuu hii bataade naaz se iimaan-e-aarazuu  iimaan-o-jaan nisaar terii ik nigaah par  tuu jaan-e-aarazuu hai tuu iimaan-e-aarazuu  ik vo ke aarazuuo.n pe jiite hai.n umr bhar  ik ham ke hai.n abhii se pashemaan-e-aarazuu  aa.Nkho.n se juu-e-Khuu.N hai ravaa.N dil hai daaG daaG  dekhe ko_ii bahaar-e-gulistaan-e-aarazuu 

kyaa kah ga_ii kisii kii nazar kuchh na puuchhiye

kyaa kah ga_ii kisii kii nazar kuchh na puuchhiye  kyaa kuchh huaa hai dil pe asar kuchh na puuchhiye  vo dekhanaa kisii kaa kunakhiyo.n se baar baar  vo baar baar us kaa asar kuchh na puuchhiye  ro ro ke is tarah se kaTii raat kyaa kahe.n  mar mar ke kaise kii hai sahar kuchh na puuchhiye  "Akhtar" dayaar-e-husn me.n pahu.Nche.n to hai.n mar ke ham  kyuu.N kar huaa hai tay ye safar kuchh na puuchhiye 

kaam aa sakii.n na apanii vafaaye.n to kyaa kare.n

kaam aa sakii.n na apanii vafaaye.n to kyaa kare.n  ik bevafaa ko bhuul na jaaye.n to kyaa kare.n  mujh ko ye etaraaf duaao.n me.n hai asar  jaaye na arsh par jo duaaye.n to kyaa kare.n  [etaraaf=concurrence/agree; arsh=seventh heaven]  ik din kii baat ho to use bhuul jaaye.n ham  naazil ho.n roz dil pe balaaye.n to kyaa kare.n  [naazil=to fall upon; balaaye.n=troubles]  shab bhar to un kii yaad me.n taare ginaa kiye  taare-se din ko bhii nazar aaye.n to kyaa kare.n  [shab bhar=the whole night; taare-se=like stars]  ahad-e-tarab kii yaad me.n royaa kiye bahut  ab muskuraa ke bhuul na jaaye.n to kyaa kare.n  [ahad-e-tarab=promise of good times]  ab jii me.n hai ki un ko bhulaa kar hii dekh le.n  vo baar baar yaad jo aaye.n to kyaa kare.n  tark-e-vafaa bhii jurm-e-muhabbat sahii "Akhtar"  milane lage.n vafaa kii sazaaye.n to kyaa kare.n  [tark-e-vafaa=end of faithfulness (love)] 

jo bhii buraa bhalaa hai Allaah jaanataa hai

jo bhii buraa bhalaa hai Allaah jaanataa hai  bande ke dil me.n kyaa hai Allaah jaanataa hai  ye farsh-o-arsh kyaa hai Allaah jaanataa hai  pardo.n me.n kyaa chhupaa hai Allaah jaanataa hai  jaakar jahaa.N se ko_ii vaapas nahii.n hai aataa  vo kaun sii jagaah hai Allaah jaanataa hai  nekii-badii ko apane kitanaa hii tuu chhupaaye  allaah ko sab pataa hai Allaah jaanataa hai  ye dhuup-chhao.n dekho ye subah-shaam dekho  sab kyuu.N ye ho raha hai Allaah jaanataa hai  kismat ke naam ko to sab jaanate hai.n lekin  kismat me.n kyaa likhaa hai Allaah jaanataa hai 

har ek jalvaa-e-rangii.n merii nigaah me.n hai

har ek jalvaa-e-rangii.n merii nigaah me.n hai  Gam-e-firaaq kii duniyaa dil-e-tabaah me.n hai  kisii kii yaad-e-karam uf are ma'azallaah  tabaah hoke bhii zaalim dil-e-tabaah me.n hai  hazaar pardo.n me.n o chhupanevaale ye sun le  teraa jamaal mere daaman-e-nigaah me.n hai  jahaa.N me.n mujhe bhii naakaam-e-aarazuu kam hai  na rang aah me.n hai aur na soz aah me.n hai 

dil-o-dimaaG ko ro luu.Ngaa aah kar luu.Ngaa

dil-o-dimaaG ko ro luu.Ngaa aah kar luu.Ngaa  tumhaare ishq me.n sab kuchh tabaah kar luu.Ngaa  agar mujhe na milii.n tum tumhaare sar kii qasam  mai.n apanii saarii javaanii tabaah kar luu.Ngaa  mujhe jo dair-o-haram me.n kahii.n jagah na milii  tere Khayaal hii ko sajdaagaah kar luu.Ngaa  [sajdagaah=place of worship]  jo tum se kar diyaa maharuum aasmaa.N ne mujhe  mai.n apanii zindagii sarf-e-gunaah kar luu.Ngaa  [maharuum=deprived; sarf-e-gunaah=submitted to sin]  raqiib se bhii miluu.Ngaa tumhaare hukm pe mai.n  jo ab talak na kiyaa thaa ab aah kar luu.Ngaa  [raqiib=rival]  tumhaarii yaad me.n mai.n kaaT duu.Ngaa hashr ke din  tumhaare hijr me.n raate.n siyaah kar luu.Ngaa  hariim-e-hazarat-e-salamaa kii simt jaataa huu.N  huaa na zabt to chupake se aah kar luu.Ngaa  ye naubahaar ye abr-o-havaa ye rang-e-sharaab  chalo jo ho so ho ab to gunaah kar luu.Ngaa  kisii hasiinaa ke maasuum ishq me.n "Akhtar"  javaanii kyaa hai mai.n sab kuchh tab

ai ishq na chhe.D aa aa ke hame.n

ai ishq na chhe.D aa aa ke hame.n  ham bhuule huo.n ko yaad na kar  pahale hii bahut naashad hai.n ham  tuu aur hame.n naashaad na kar  qismat kaa sitam hii kam nahii.n kuchh  ye taazaa sitam ijaad na kar  yuu.N zulm na kar bedaad na kar  ai ishq hame.n barbaad na kar  jis din se mile hai.n dono.n kaa sab chain gayaa aaraam gayaa cheharo.n se bahaar-e-subah ga_ii  aa.Nkho.n se faroG-e-shaam gayaa  haatho.n se Khushii kaa jaam chhuuTaa  ho.nTho.n se ha.Nsii kaa naam gayaa  GamGii.n na banaa naashaad na kar  ai ishq hame.n barbaad na kar  raato.n ko uTh uTh rote hai.n  ro ro kar duaaye.n karate hai.n  aa.Nkho.n me.n tasavvur dil me.n Khalish  sar dhunate hai.n aahe.n bharate hai.n  ai ishq ye kaisaa rog lagaa  jiite hai.n na zaalim marate hai.n  ye zulm to ai jallaad na kar  ai ishq hame.n barbaad na kar  ye rog lagaa hai jab se hame.n  ranjiidaa huu.N mai.n biimaar hai vo  har vaqt tapish har vaqt Khalish  be-Khvaab huu.N mai.n bedaar ha vo  jiine se idha

kisii se kabhii dil lagaayaa na thaa

kisii se kabhii dil lagaayaa na thaa  muhabbat kaa sadamaa uThaayaa na thaa  hasiino.n ke rone pe ha.Nsate the ham  kabhii ek aa.Nsuu bahaayaa na thaa  ko_ii huur ho yaa parii apanaa sar  kisii aastaa.N par jhukaayaa na thaa  siyaah gesuuo.n ko tamannaa rahii  magar dil ko ham ne pha.Nsaayaa na thaa  [siyaah=dark/black]  zamaane me.n vo kaun thaa zoharaa_vash  ke siine se jis ne lagaayaa na thaa  basar kii sadaa aish-o-isharat me.n umr  kabhii ranj ham ne uThaayaa na thaa  magar ik jhalak ne hame.n kho diyaa  ye sadamaa to ham ne uThaayaa na thaa  kiyaa ishq ke dard me.n mubtilaa  "falak tuu ne itanaa ha.Nsaayaa na thaa  ke jis ke ivaz yuu.N rulaane lage" 

Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi

Kisi Ki Ankh Pur Nam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi Zabaan Pe Qissa-e-Ghum Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi Kabhi Hasna Kabhi Rona, Kabhi Hans Hans Ke Ro Dena Ajab Dil Ka Ye Alam Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi Kabhi Aankhon Hi Aankhon Mein Wo Baaton Ka Bata Dena Kabhi Takrar Baham Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi Kisi Ko Samney Paa Kar Kisi Ke Surkh Honton Par Anokha Saa Tabassum Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi Hr Ik Salvat Pe  Bistar Ki Kisi Ka Naam Likha Hai Diye Ki Lo Bhi Madham Hai, Mohabbat Ho Gayi Hogi

Bayaan Har Kisi Se Hijr-O-Wisaal Karty Ho

Bayaan Har Kisi Se Hijr-O-Wisaal Karty Ho Kiun Apna Shehr Me Jeena Muhaal Karty Ho, Bichhar Ke Bhala Miley Han Musaafir Bhi Kiun Apny Aap Ko Yunhi Niddhal Karty Ho, Suna He Woh Bhi Tumhain Poochta Hay Aisy Hi Tum Us Ke Bary Me Jesey Sawal Karty Ho, Woh  Aashnaai Usy Yaad Hi Na Ho Shayd Woh Jis Ke Nam Pe Sb Maah-O-Saal Karty Ho, Bohat Aziz Tha Shayd Woh Is Lye Bichharny Waly Ka Ab Tak MALAAL Karty Ho...!!!

Zara Pane Ki Chahat Main

Zara Pane Ki Chahat Main Bohat Kuch Chhoot Jata Hain, Na Jane Sabr Ka Dhaaga Kahan Par Toot Jata Hain, Kise Hamrah Kehte Ho Yahan To Apna Saya Bhi, Kahin Par Saath Rehta Hain Kahin Par Chhoot Jata Hain, Ajab Shay Hai Ye Rishta Bhi Bahat Mazboot Lagta Hain, Zara Si Bhool Se Lekin, Bharosa Toot Jata Hain...!!!

Na hua naseeb qaraar-e-jaan, hawas-e-qaraar bhi ab nhi

نہ ہوا نصیب قرارِ جاں، ہوسِ قرار بھی اب نہیں ترا انتظار بہت کیا، ترا انتظار بھی اب نہیں تجھے کیا خبر مہ و سال نے ہمیں کیسے زخم دیئے یہاں تری یادگار تھی اک خلش، تری یادگار بھی اب نہیں نہ گلے رہے نہ گماں رہے، نہ گزارشیں ہیں نہ گفتگو وہ نشاطِ وعدہء وصل کیا، ہمیں اعتبار بھی اب نہیں کسے نذر دیں دل و جاں بہم کہ نہیں وہ کاکُلِ خم بہ خم کِسے ہر نفس کا حساب دیں کہ شمیمِ یار بھی اب نہیں وہ ہجومِ دل زدگاں کہ تھا، تجھے مژدہ ہو کہ بکھر گیا ترے آستانے کی خیر ہو، سرِ رہ غبار بھی اب نہیں وہ جو اپنی جاں سے گزر گئے، انہیں کیا خبر ہے کہ شہر میں کسی جاں نثار کا ذکر کیا، کوئی سوگوار بھی اب نہیں نہیں اب تو اہلِ جنوں میں بھی، وہ جو شوق شہر میں عام تھا وہ جو رنگ تھا کبھی کو بہ کو، سرِ کوئے یار بھی اب نہیں

Humi Ney Tark-e-Tahluq Main Pehel Ki Ke Faraz,

Humi Ney Tark-e-Tahluq Main Pehel Ki Ke Faraz,  Woh Chahtaa Tha Magar Hoaslaa Na Tha Uss Ka..

jis teray koi bhi din raat na janay meray

jis teray koi bhi din raat na janay meray  tu kahaN hai magr Ah dost puranay meray tu bhi khushboo hai magr mera tujusus bekar burg-e-awara ki maninth dikhAnay meray shumA ki lau thi kay wo tu tha magr hijr ki raat  dair tuk rotA raha koi sirhanay meray khalq ki beKhabaree hai keH meree ruswa'ee looq mujh ko hi sunatay hein fusanay meray lut keh bhi khush hooN keh ashkooN se bhara hai daaman dekh gharat gare dil yeh bhi khazane mere Aaj ik aur burS beeth gya oos kay beghair  jis kay hotay hooay hotay thay zamanay meray kaash tu bhi meri awaaz sunta ho phir pukara hai tujhe dil ki saada ne mere kaash tu bhi kabhi aajaye masiha'ee ko loog aate hein bohat dil ko dukhane mere kaashi aurooN ki turhaaN mein bhi keH sukta baat soon li hai meri, aaj khuda ne mere to hai kis haal mein aih zood-faramosh mere mujh ko tu cheen lya aihed-e wafa ne mere chara-gr yooN tu bohut heiN magr aeh jaan-e-faraz juz teray aur koi zaghum na janay meray

ALLAMA IQBAL

Jo Main Sar-ba-Sajda Hua Kabhi

Muddat K Baad Dekha Usay Badli Hui Thi Woh,

Muddat K Baad Dekha Usay Badli Hui Thi Woh, Najanay Kiya Hadsa Hua Sehmi Hui Thi Woh, Mujhe Dekh Kar usnay Chehra Toh Chupa Liya, Magar Aankhein Bata Rahi Thin K Royi Hui Thi Woh, Uski Aankhon Mein Dekh Kar Mehsoos Hua Mujhe, Meri Tarah Kissi Soch Mein Doobi HUi Thi Woh, Uski Sone Jaisi Rangat Zarad Parh Gayi Thi, Jaise Kissi K Pyaar Mein Jali Hui Thi Woh, Qurbaan Jaoun Us Shakhs Par Main,,,,,, Yaad Mein Jiski Khoyi Hui Thi Woh............!!!!

Aansoo Mein Na Dhoondna Humain,

Aansoo Mein Na Dhoondna Humain, Dil May Hum Bas Jaayenge, Tamanna Ho Agar Milne Ki, To Bund Aankhon Mein Nazar Aayenge. Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayega, Chund Lamhoon Mein Daamen Chooth Jaayega, Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse, Kal Kya Pata Kon Apki Zindagi Mein Aa Jayega. Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hain, Hum Akele Thay Akele Hi Reh Jaate Hain, Dil Ka Dard Kisse Dikhayain, Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hain, Waqt To Humey Bhula Chuka Hai, Muqaddar Bhi Na Bhula De, Pyar Dil Se hum Isi liye Nahi Karte, Kyun ke Darte Hain,Koi Phir Se Na Rula De, Zindagi Mein Hamesha Naye Log Milenge, Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge, Aitbaar Zara Soch Kar Karna, Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge. Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge, Sukon Ban kar Dil Mein Utar Jayenge, Mehsoos Karne Ki Koshish To Ki jiye, Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay

Itni Shidat Se To Barsaat Be Kam Kam Barsay  Jis Traha Ankh Teri Yaad Main Cham Cham  Barsay Minatien Kon Kary Aik Gharondy Ke Lye Kah Do Baadal Se Barasta Hai To Jam Jam Barsay

Toot jaye na bharam hont hilaon kaise,

Toot jaye na bharam hont hilaon kaise, Hal jaisa bhi ho logon ko sunaon kaise, Khushk aankhon se bhi ashkon ki mehak aati hai, Mai us k ghm ko zamane se chupaon kaise, Phool hota to mai us k dar pe saja bhi deta, Zakham le k uski dehleez pe jaon kaise, Wo rulati hai to jee bhar k rulaye mujhe, Lakin, WO meri aankhen hai, Mai usko rulaon kaise?

is daur-e-bejunun ki kahani koi likho

is daur-e-bejunun ki kahani koi likho  jismon ko barf khun ko pani koi likho  koi kaho k hath qalam kis tarah hue  kyun ruk gai qalam ki ravani koi likho  kyon ahal-e-shauq sar-va-gareban hain dosto  kyon khun-ba-dil hai ahad-e-javani koi likho  kyon surma-dar-gulu hai har ek tayar-e-sukhan  kyon gulsitan qafas ka hai sani koi likho  han taza sanehon ka kare kaun intazar  han dil ki varadat purani koi likho

kaha tha kis ne ke ahad-e-vafa karo us se

kaha tha kis ne ke ahad-e-vafa karo us se  jo yon kiya hai to phir kyon gila karo us se  ye ahl-e-baz tunak hausala sahi phir bhi  zara fasana-e-dil ibtida karo us se  ye kya ke tum hi gam-e-hijr ke fasane kaho  kabhi to us ke bahane suna karo us se  nasib phir koi taqrib-e-qarb ho ke na ho  jo dil main hon vahi batain kiya karo us se  'Faraz' tark-e-ta'alluq to khair kya hoga  yahi bahut hai ke kam kam mila karo us se

zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain

zakhm ko phul to sar sar ko saba kahte hain  jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain  kya qayamat hai ke jin ke liye ruk ruk ke chale  ab vahi log hamain abalapa kahte hain  koi batalao ke ik umr ka bichara mahabub  ittefaqan kahin mil jaye to kya kahte hain  ye bhi andaz-e-sukhan hai ke jafa ko teri  gamza-o-ishva-o-andaz-o-ada kahte hain  jab talak dur hai tu teri parastish kar lain  ham jise chu na sakain us ko khuda kahte hain  kya tajjub hai ke ham ahl-e-tamanna ko 'Faraz'  wo jo maharum-e-tamanna hain bura kahte hain

koi ye kaise bataaye ke wo tanha kyooN hai

koi ye kaise bataaye ke wo tanha kyooN hai wo jo apna thaa wahi aur kisi ka kyooN hai yahi duniya hai to phir aisee ye duniya kyooN hai yahi hota hai to aakhir yahi hota kyooN hai ik zara haath baDha deN to pakaD le daaman uske seene meiN sama jaaye hamari dhaDkan itni kurbat hai to phir faaslaa itna kyooN hai dil-e-barbaad se nikla nahiN ab tak koi ik loote ghar pe diya karta hai dastak koi aas jo TooT gayee phir se bandhaata kyooN hai tum asarrat ka kahO ya ise gham ka rishta kehte hain pyaar ka rishta hai janam ka rishta hai janam ka jo ye rishta to badalta kyooN hai

too nahiN to zindagi meiN aur kya reh jaayega

 too nahiN to zindagi meiN aur kya reh jaayega door tak tanhaaeeyoN ka silsila reh jaayega dard ki saari tahe aur saare guzre haadse sab dhooaN ho jaayenge ik faakeya reh jaayega yuN bhee hoga wo muJhe dil se bhula dega maGar  ye bhee hoga khud usee meiN ik khala reh jaayega daayre inkaar ke iqraar kee sargoshiyaaN ye agar TooTe kabhee to faaslaa reh jaayega

Aankhon mein sitaare to kayi shaam se utrey

Hoti hai Lakh Ghamo'n ki Dawa'a Neend bhi Magar...

Hoti hai Lakh Ghamo'n ki Dawa'a Neend bhi Magar... Hotey hain Aisy Gham bhi Jo Soney nahi Detay...!!!

Hum ne Uss Raat Bhi Tumhein Manga Tha.a......!!

Udaas Raaton ka Dastoor....!!

Doobi Hain Meri Ungliyaan....!!

Maut Ki Afwah....!!

Mera Shehar Na Chhorray....!!

Baat Wo Adhi Raat Ki....!!

Apni Mohabbat Se Mohabbat Hai.....!!

Wo Dikhai Nahi Deta....!!!

Aankhon Ki Masti......!!

Harf E Tasalli To Bas Ek Taaklluf Hai...........

Main kisi ko kya ilzaam doon, apni mout ka Sahil. .

Dil Ka Aalam Hai Ek Darya Sa

Bohat thay mere bhi iss dunya mein apne

Khoob yeh tumne kaha hashr mein mil jayenge......

Khoob yeh tumne kaha hashr mein mil jayenge...... Is qadar bheed mein hoti hai mulaqaat bhala....????

Charday Suraj Dhalday Waikhay

Sir te topi neeyat khoti

Sach Kahun Mujhko Yeh Unwaan Bura Lagta Hai,

Sach Kahun Mujhko Yeh Unwaan Bura Lagta Hai, Zulm Sehta Hua Insaan Bura Lagta Hai. Kis Qadar Ho Gayi Masroof Ye Duniya Apni, Ek Din Thehra Toh Mehmaan Bura Lagta Hai. Unki Khidmat Toh Bahut Door Bete Betiyon Ko, Boodhe Maa Baap Ka Farmaan Bura Lagta Hai. Mere Allah Meri Naslo Ko Zillat Se Nikaal, Haath Pehlaye Huye Musalmaan Bura Lagta Hai...

Pukhay Marday Vaikhay Nay?

qeemat

badan ke karab ko wo bhi na samjh paye ga

Apni haar mein kitna sakoon tha

Woh Naraaz Hota To Use Mana Leta

Mujhe Tumse Mohabbat Hai

Justice

Kon Kehta Hai Nafratoon Mein Dard Hai Moshin

Tazad-e-Jazbat mein yeah nazuk muqam aya to kia kero gaye

sab-se-chupa-ker-durd-jo-wo-muskura-diya

sitare-noche-walo-falak-ko-asra-dena

Dil main phir dard howa dair talak

Dil main phir dard howa dair talak  Na mili iss ko dawa dair talak  Mein nay khoshboo ki haqeqat poochi  Phool khamosh raha dair talak  Tum nay to sirf suna hee ho ga  Mein nay jo dard saha dair talak  Shab ko phir mein nay sulgata paya  Mun ka khamosh diya dair talak  Uss nay kuch aur kaha tha shayed  Mein nay kuch aor suna dair talak  Uss nay poocha k mujhe yaad kiya?  Mein nay tab hans k kaha dair talak  Janay wala nahi ek pal bhi ruka  Aks aankhoon main raha dair talak  Maslahat reh gaee hontoon pay Batool  Rooh main shor macha dair talak

mar hi dal mujhe chasm-e-ada se pahle

mar hi dal mujhe chasm-e-ada se pahle  apni manzil ko pahunch jaun qaza se pahle  ik nazar dekh lun a jao qaza se pahle  tum se milne ki tamanna hai Khuda se pahle  hashr k roz main puchunga Khuda se pahle  tu ne roka nahin kyun mujhko khata se pahle  ai meri maut thahar unko zara ane de  zahar ka jam na de mujhko dawa se pahle  hath pahunche bhi na the zulf dota tak 'Momin'  hathkari dal di zalim ne khata se pahle 

Aaj Gum Sum Hai Jo Barbaad Jazeeron Jaisi,

Aaj Gum Sum Hai Jo Barbaad Jazeeron Jaisi, Us Ki Aankhon Mein Chamak Thi Kabhi Heeron Jaisi Kitne Maghroor Pahaaron Ke Badan Chaak Huey, Taiz Kirnon Ki Jo Baarish Hui Teeron Jaisi Jis Ki Yaadon Se Khayaalon Ke Khazaanay Dekhay, Uski Soorat Bhi Lagi Aaj Faqeeron Jaisi Chahatain Lub Pe Machalti Hui Larki Ki Tarah, Hasratain Aankh Mein Zindaan Ke Aseeron Jaisi Hum Anaa Mast, Tahi Dast Bohat Hain MOHSIN, Ye Alag Baat Ke Aadat Hai Ameeron Jaisi……..! 

abhi kya kahen abhi kya sunayen

abhi kya kahen abhi kya sunayen  ke sar-e-fasil-e-sukut-e-jan  kuf-e-roz-o-shab pe sharar numa  wo jo harf jarf charag tha  use kis hawa ne bujha diya  kabhi lab hilenge to puchna  sar-e-sahar-e-ahad-e-wisal-e-dil  wo jo nikahaton ka hujum tha  use dast-e-mauj-e-firaq ne  tah-e-khak kab se mila diya  kabhi gul khilenge to puchna  abhi kya kahen abhi kya sunayen  yun hi khwahishon k fishar main  kabhi be-sabab kabhi bekhalal  kahan kaun kis se bichar gaya  kise kis ne kaise ganwa diya  kabhi phir milenge to puchna 

Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah

Basaa Howa Tha Jo Seenay Mein Aarzoo Ki Tarah Ragon Mein Goonj Raha Hai Wo Ab Lahoo Ki Tarah Mein Oske Dil Mein Chhupi Khwaahishain Bhi Jaan Gaya Khula Wo Mujh Se Girebaan-e-Be-Raffuu Ki Tarah Koi Nazar Bhi Uthay Os Pe Dil Dhadak Jaaye Mein Osse Pyaar Karuun Apni Aabroo Ki Tarah Bohat Dinon Mein Jo Dekha Ose Tou Kia Kehiye ! Lagi Hai Oski Khamooshi Bhi Guftaguu Ki Tarah Mujhe Judaa Na Samajhna Chaman Se Ehl-e-Chaman ! Mein Raaigaan Hee Sahi, Shaakh-e-Be-Namuu Ki Tarah Gham-e-Jahan Tha Ke Mohsin Ujaar Mausam Tha ? Simat Gaya Wo Samandar Bhi Aabujuu Ki Tarah 

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!!

Habs-e-Duniya Say Guzar Jatey Hein ..!! Aaisa Kartey Hein Keh Marr Jatey Hein ..!! Kaisay Hotey Hein Bicharnay Walay..?? Hum Yea Sochein Bhi Toa Darr Jatey Hein ..!! Dil Jo Tootey Toa Sar-e-Mehfil Bhi..!! Baaal Be-Waja Bikhar Jatey Hein ..!! Ab Na Dekho Meri Banjar Aankhein..!! Chartey Daryaa Toa Uther Jatey Hein ..!! Dhoop Ka Roop Rachaney Walay...!! Shaam Ko Aur Nikhar Jatey Hein ..!! Ab Na Murr Murr Kay Pukaroo Unko..!! Log Rastay Mein Taher Jatey Hein ..!! Khaali Damann Say Shikayat Kaisi...?? Aashk Ankhon Mein Toa Barh Jatey Hein ..!! Tum Kahan Jao Gay Socho Mohsin ..?? Log Thakk Haar Kay Ghar Jatey Hein .......!! 

jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua

jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua  apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuksan hua  mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main  pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua  us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se  us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua  yun bhi kam amez tha 'Mohsin' wo is shahar k logon main  lekin mere samne akar aur hi kuch anjam hua 

Ajam ke shahroN meN ek shahar ka hai ye qissa

Ajam ke shahroN meN ek shahar  ka hai ye  qissa Yeh raft O bood ka ek silsilaa jo qaayam hai BhaNvar meN jis ke har ek cheez doob jaati hai Suna hai us meN kisi qasbe ka rayees baRa PhaNsa kuchh aisa, koi chaal kaargar na hui Har ek tibbee madad, har dawa, ilaaj, gharaz Woh sab jo qabza E insaan O mumkinat meN tha Kiya, tamam maseeha qareeb O door jo the Talab kiye gaye, sab ko zar E kaseer diya Magar khuda ko jo manzoor tha woh ho ke raha Ajal ne beTe se mahboob baap chheen liya Khabar yeh phail gayi door paas pal bhar meN Har ek rota tha zaar O qataar sun sun kar Pisar ke bain ka dil par asar shadeed hua Woh seena peet ke kahta tha baar baar, ‘Pidar! Chale ho aisi jagah chhoR kar hameN sab ko JahaaN na dost na hamdam na koi hai munis Andheri kothri hogi, akele rahna hai Na khana paani jahaaN hai na roushni ka guzar WahaaN pe jaisi bhi guzregi khud hi sahna hai Har ek chez ko tarsoge haaye haaye wahaaN Koi madad ko na aayega aisi duniyaa hai!!’ Ghareeb bhi koi

Yeh samundar hai! kinaare hi kinaare jaao

Yeh samundar hai!  kinaare hi kinaare jaao Ishq har shakhs ke bas ka nahi pyaare jaao YuN to maqtal mein tamashaayi bahut aate hain Aaao us waqt, K jis waqt  pukaare jaao Dil ki baazi lage phir jaan ki bazi lag jaye Ishq mein haar ke abiTho nahi, haare jaao Kaam ban jaye agar zulf junuN ban jaaye Is liye us ko saNvaaro K saNvare jaao Koi rastaa koi manzil use dushwaar nahi Jis jagah jaao muhabbat ke sahaare jaao Hum to mitti se ugaayeNge muhabbat ke gulab Tum agar toRne jaate ho sitaare, jaao Doobna hoga agar doobna taqdeer mein hai Chaahe kashti pe raho chaahe kinare jaao Tum hi socho bhal yeh shouq koi shouq hua Aaj ooNchayi pe baiTho kal utaare jaao Maut se khel ke karte ho muhabbat ‘Ajiz’ Mujh ko Dar hai kahiN be-maut na maare jaao

Us raah pe jaane se pahle asbaab sanbhaal ke rakh lena

Us raah pe jaane se pahle asbaab sanbhaal ke rakh lena Kuchh ashk firaaq se le lena kuchh phool visaal ke rakh lena Ek umr ki mahroomi apne seene meN chhupaana mushkil hai Jab hadd E wazaahahat aajaaye, yeh teer nikaal ke rakh lena Ek hairat dil meN jhaNkegi, aaNkhoN meN sitaare TaaNkegi Jo aaNsoo tum par bhaari hoN daaman me uchhaal ke rakh lena Ek aisi chup  taari  karnaa jaise  goyaayi se ‘aari ho Khaamoshi ke gahwaare me aawaazeN paal ke rakh lena Chehre se khushi saabit karna jaise har dukh se ghaafil ho HaaN baab E takhatub aaye to alfaaz malaal ke rakh lena Woh shaam bahut jald aayegi jo tum ko tum se milaayegi Us shaam tum apni aahoN se kuchh naGhme dhaal ke rakh lena Is kaar E jahaaN ki wahshat par jab koi dastaawez likho Sab se aakhir meN kuchh safhe apne ahwaal ke rakh lena Taa’eed ke sannate se uTho, tardeed ke shor meN aajaao Ek talkh jawaab se behtar hai ilzaam sawaal ke rakh lena Ye khaboN, zakhmoN, daaGhoN ki tarteeb munasib hai lekin Is zaad E

KahiN goyaayi ke haathoN samaa’at ro rahi hai

KahiN goyaayi ke haathoN samaa’at ro rahi hai KahiN lab bastaa rah jaane ki hasrat ro rahi hai Kisi deewaar par nakhun ne lik_kha hai rihaayi Kisi ghar meN aseeri ki aziyyat ro rahi hai KahiN member pe baiTha hai ek sajde ka nashsha Kisi mehraab ke neeche ibaadat ro rahi hai Yeh maathe par paseene ki jo larzish tumne dekhi Yeh ek chehre pe laa-haasil mushaqqat ro rahi hai Ajab mahfil hai sab ek dusre pe haNs rahe haiN Ajab tanhaayi hai khilwat ki khilwat ro rahi hai Yeh khamoshi nahi, sab iltejaayeN thak chuki haiN Yeh aaNkheN tar nahi, rone ki himmat ro rahi hai Jo ba’ad az hijr aaya, us ko kaise wasl kah duN? Shikaayat se gale mil ke nidaamat ro rahi hai Ise ghussa na samjho! ‘Azm’ yeh mere lahoo me Musalsal zabt karne ki riwaayat ro rahi hai

Main umr ke rastay mein chup-chap bikhar jata

Main umr ke rastay mein chup-chap bikhar jata Ek din bhi agar apni tanhai se dar jata Main tark e ta’alluq pe zinda huN so mujrim huN Kash uske liye jeeta!! apne liye mar jata Kal saamne manzil thi peechhe meri aawazieN Chalta to bichhaR jata, rukta to safar jata Main shehr ki rounaq mein gum ho ke bahut khush tha Ek shaam bacha leta, ek roz to ghar jata Uss jaan e takkallum ko tum mujhse to milwatay Tas_Kheer na kar pata, hairaan to kar jata

Aainay Per Kabhi Kitaab Mein Hain

Aainay Per Kabhi Kitaab Mein Hain Uski Aankhain Ajeeb Azaab Mein Hain Thaktay Phirtay Hain Dhoop Mein Bachay ! Titliaan Saaya-e-Gulaab Mein Hain Ek Kachay Gharay Ki Jurrat Per Kitni Tugyaaniaan Chanaab Mein Hain Wo Abhi Tak Hai Ru-Baruu Apnay, Hum Abhi Tak Hisaar-e-Khwaab Mein Hain…! Uski Aadat Hai Roothna Mohsin Loog Be-Waja Iztaraab Mein Hain 

Yaad karte hain jab woh din hum aaj bhi

Yaad karte hain jab woh din hum aaj bhi  hain kitne tanha tere bin hum aaj bhi  kaisi doori huee hai jaana kya bataaon main  guzre lamho main thay jo sapne kabhi  toote sitaare ki tarha gire hain woh aaj bhi  aisi hawa chali thi, dekho chalti hai wo aaj bhi  leke jaati hai kis taraf humne jaana na aaj bhi  aag kaisi jali thi jo jalti gayee  kaisa toofan tha jo ruka na kabhi  meri khushion ne rukh badla aaj bhi  tum thay anjaan ho bekhabar aaj bhi  hum thay maherbaan tumpe hain fida aaj bhi  baat kehdi thi lekin rahi ankahee  milay to sunayenge fasaane kabhi na kabhi  mil jaye do ghari fursat k, maangte hain dua aaj bhi  pal do pal, badalti hai apna rasta kismat aaj bhi  aazmaati hai, leti hai imtihaan aaj bhi  ibtida hansi se huee, intihaa main sabar likha  humne to har mushkil lamhe ko safar ka dost samjha  kya hai chhupa us aakhri din main, uska hai intizaar aaj bhi.

tujhe to yaad hi ho ga

kitni azeat se us na muj ko bhulaya ho ga