Skip to main content

Aansoo Mein Na Dhoondna Humain,

Aansoo Mein Na Dhoondna Humain,
Dil May Hum Bas Jaayenge,
Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Bund Aankhon Mein Nazar Aayenge.
Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayega,
Chund Lamhoon Mein Daamen Chooth Jaayega,
Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apki Zindagi Mein Aa Jayega.
Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hain,
Hum Akele Thay Akele Hi Reh Jaate Hain,
Dil Ka Dard Kisse Dikhayain,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hain,
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Pyar Dil Se hum Isi liye Nahi Karte,
Kyun ke Darte Hain,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi Mein Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,
Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.
Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Mein Utar Jayenge,
Mehsoos Karne Ki Koshish To Ki jiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.