Skip to main content

Dil main phir dard howa dair talak

Dil main phir dard howa dair talak 
Na mili iss ko dawa dair talak 

Mein nay khoshboo ki haqeqat poochi 
Phool khamosh raha dair talak 

Tum nay to sirf suna hee ho ga 
Mein nay jo dard saha dair talak 

Shab ko phir mein nay sulgata paya 
Mun ka khamosh diya dair talak 

Uss nay kuch aur kaha tha shayed 
Mein nay kuch aor suna dair talak 

Uss nay poocha k mujhe yaad kiya? 
Mein nay tab hans k kaha dair talak 

Janay wala nahi ek pal bhi ruka 
Aks aankhoon main raha dair talak 

Maslahat reh gaee hontoon pay Batool 
Rooh main shor macha dair talak

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.