Skip to main content

Sach Kahun Mujhko Yeh Unwaan Bura Lagta Hai,


Sach Kahun Mujhko Yeh Unwaan Bura Lagta Hai,
Zulm Sehta Hua Insaan Bura Lagta Hai.

Kis Qadar Ho Gayi Masroof Ye Duniya Apni,
Ek Din Thehra Toh Mehmaan Bura Lagta Hai.

Unki Khidmat Toh Bahut Door Bete Betiyon Ko,
Boodhe Maa Baap Ka Farmaan Bura Lagta Hai.

Mere Allah Meri Naslo Ko Zillat Se Nikaal,
Haath Pehlaye Huye Musalmaan Bura Lagta Hai...

Popular posts from this blog

husan e zan thi or phul chun lke laati thi

 

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.