kaha tha kis ne ke ahad-e-vafa karo us se

kaha tha kis ne ke ahad-e-vafa karo us se 
jo yon kiya hai to phir kyon gila karo us se 

ye ahl-e-baz tunak hausala sahi phir bhi 
zara fasana-e-dil ibtida karo us se 

ye kya ke tum hi gam-e-hijr ke fasane kaho 
kabhi to us ke bahane suna karo us se 

nasib phir koi taqrib-e-qarb ho ke na ho 
jo dil main hon vahi batain kiya karo us se 

'Faraz' tark-e-ta'alluq to khair kya hoga 
yahi bahut hai ke kam kam mila karo us se