Skip to main content

Bayaan Har Kisi Se Hijr-O-Wisaal Karty Ho

Bayaan Har Kisi Se Hijr-O-Wisaal Karty Ho
Kiun Apna Shehr Me Jeena Muhaal Karty Ho,

Bichhar Ke Bhala Miley Han Musaafir Bhi
Kiun Apny Aap Ko Yunhi Niddhal Karty Ho,

Suna He Woh Bhi Tumhain Poochta Hay Aisy Hi
Tum Us Ke Bary Me Jesey Sawal Karty Ho,

Woh  Aashnaai Usy Yaad Hi Na Ho Shayd
Woh Jis Ke Nam Pe Sb Maah-O-Saal Karty Ho,

Bohat Aziz Tha Shayd Woh Is Lye
Bichharny Waly Ka Ab Tak MALAAL Karty Ho...!!!

Popular posts from this blog

Ik taluq ko bikharne se bachane ke liye

 

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye,

Kaha woh tha charagha'n har ek ghar ke liye, kaha charaGh mayasar nahi shahar ke liye, yaha darakhto'n ke saye mai'n dhoop lagti hai, chalo yaha se chale aur umer bhar ke liye, na ho qamiz to ghutno'n se pet Dhak lenge, ye log kitne munsib hai'n is safar ke liye, Khuda nahi na sahi adami ka Khwab sahi, koi hasin nazara to hai nazar ke liye, wo mutmain hai'n ki patthar pighal nahi sakta, mai beqarar hoo'n awaz mai'an asar ke liye, jiye to apne baghiche mai'n gulmohar ke liye, mare to Ghair ki galiyo'n mai'n gul_mohar ke liye.

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

dasht-e-shab par dikhai kya dengi silawaten roshani main ubhrengi ghar ki diwaren mere jane par apni tanhaiyon ko sochengi ungaliyon ko tarash dun phir bhi adatan us ka nam likkhengi rang-o-bu se kahin panah nahin khwahishen bhi kahan aman dengi ek khushbu se bach bhi jaun agar dusari nikahaten jakar lengi khirkiyon par dabiz parde hon barishen phir bhi dastaken deng