Kaash Tum Aa Jao !!

Aaj Kuch Waqt Ke Liye Paas Mere Kaash Tum Aa Jao..
 Bahot Tanha Høon Mai Aaj, Kaash Tum Aa Jao..

Kabhi Khud Ko Etna Kamzor Na Hone Diya Maine;
 Par Aaj Bikhar Gaya Hoon, Kaash Tum Aa Jao..

Tum Se Milte Hi Milta Hai Hosla Har Pal Mujhe;
 Chaahiye Aaj Teri Baanho Ka Sahara, Kaash Tum Aa Jao..

Barson Se Jeeta Aaya Hoon Bin Tere Ae Jaan-E-Wafaa;
 Aaj Nahi Guzar Raha Ek Bhi Pal, Kaash Tum Aa Jao..
 Waqt Ki Raftaar Bhi Jaise Tham Si Gayi Hai;
 Tham Na Jaaye Meri Saans, Kaash Tum Aa Jao..

Kaash Tum Aa Jao !!