Garmi-e-Shaoq-e-Nazaaraa kaa Asar To Dekho

Garmi-e-Shaoq-e-Nazaaraa kaa Asar To Dekho
Gul khile Jaate Hain Woh Saaya-e-Dar To Dekho,

Aise Naadaan To Na The Jaan Se Guzarne Waale
Naasiho, Rahabar-o-Raahguzar To Dekho,

... Woh To Woh Hain Tumhen Ho Jaayegi Ulfat Mujh Se
Ek Nazar Tum Meraa Mehboob-e-Nazar To Dekho,

Woh Jo Ab Chaak Garebaan Bhi Nahi karte Hain
Dekhne Waalo kabhi Un kaa Jigar To Dekho,

Daaman-e-Dard ko Gulazaar Banaa Rakhaa Hai
Aao Ek Din Dil-e-PurKhoon ka Hunar To Dekho,

Subah ki Tarah Chamakta Hai Shab-e-Gham ka Ufaq
"Faiz" Taabindgi-e-Deedaa-e-Tar To Dekho.