wahshateiN hazaaroN haiN Aagahi kay paikar meiN
jal raha hai Suraj bhi roshni kay paikar meiN
Raat meri aankhoN meiN kuchh ajeeb chehrey they
aur kuchh SadaaeiN theiN khaamshi kay paikar meiN
har taraf saraaboN kay kuchh haseen manzar they
aur meiN bhi haairaN tha tashnagi kay paikar meiN
meney to tassawur meiN aur Aks dekha tha
fikr mukhtalif kyuN hai Shayari kay paikar meiN
roop-rang milta hai,khadd o khaal miltey haiN
Aadmi nahiN milta aadmi kay paikar meiN
kya bataeiN hum Dil par ;Shaad; kya guzarti hai
gham chhupana parhta hai jab khushi kay paikar meiN