aur yuN mirey urooj pe pahuncha diya mujhey


aur yuN mirey urooj pe pahuncha diya mujhey
pamaal kar kay bheirh nay rasta diya mujhey

kya soch kar ghubaar sa phirta hooN dar ba dar
aisa bhi kya hawaaoN ney samjha diya mujhey?

maangey thhey chand khwab to be-khwabiaN miliN
darya ki aarzuoN nay sehra diya mujhey

maazi har eik baar mujhey lay gaya wahiN
ujrhhey sey ik makaan meiN thhehra diya mujhey

aisa to koi shakhs mila hi na tha kabhi
yeh kis ney apney aap sey milwa diya mujhey?

aksar meiN apney aap pe karta raha yaqeeN
aksar merey yaqeen nay dhoka diya mujhey

aye;Shaad; merey ghar ki sadaaoN ko kya hua?
khaamoshioN nay aaj to chaunka diya mujhey